Tags-Waqt

ye vaqt raushnī kā muḳhtasar hai
abhī sūraj tulū-e-muntazar hai
Ghazal
ye waqt raushni ka muKHtasar hai
namāz paḌhne kī mohlat mile, mile na mile!
na jaane vaqt-e-azāñ kaun maarā jā.egā
Ghazal
ba-nam-e-amn-o-aman kaun mara jaega
vaqt tham jaatā hai ab raat guzartī hī nahīñ
jaane dīvār-ghaḌī raat meñ kyā kartī hai
Ghazal
lamha-dar-lamha teri rah taka karti hai
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halī sabhī
vaqt kaaTe nā kaTe to kyā kareñ kis se kaheñ
Sher
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jae bad-hali sabhi
gūñjtā rah gayā ḳhalāoñ meñ
vaqt kā ek qahqaha tanhā
Ghazal
dil ne ek ek dukh saha tanha
tez chalne meñ gir na jaa.e kahīñ
vaqt se bol do Thahar jaa.e
Ghazal
raat jab TuT kar bikhar jae
qasr-e-taḳhrīb kī ta.amīr hai jin ke hāthoñ
haañ unheñ vaqt ke me.amār na kahnā aayā
Ghazal
roz-e-raushan ko shab-e-tar na kahna aaya
vaqt-e-mushkil ġhair kyā apne bhī dushman ban ga.e
kah gayā hai josh meñ dīvāna gahrā.ī kī baat
Ghazal
ishq mein kya kaam karti aql-o-danai ki baat
āñkheñ tumhārī kyā phirīñ us vaqt ''merī jān''
sach pūchhiye to mujh se zamāna ulaT gayā
Ghazal
jab main suna ki yar ka dil mujhse haT gaya
hudūd-e-vaqt se aage uḌaan bharte rahe
amīr-e-vaqt kā mansab gayā jalāl gayā
Ghazal
wo be-niyaz shab-o-roz-o-mah-o-sal gaya
bul-havas jaan nahīñ khone ke ḳhātir se tirī
ham haiñ sar dene ko haiñ vaqt-e-zarūrat kī tirī
Ghazal
dil parastar hain sab KHalq ke murat ki teri
kyā patta kab kaun us kī zad pe aa jaa.e kahāñ
vaqt kī raftār se har shaḳhs hai sahmā huā
Ghazal
maine koshish ki bahut lekin kahan yakja hua
de ḳhudā aur jagah siina o pahlū ke sivā
ki bure vaqt meñ ho jaa.e Thikānā dil kā
Ghazal
achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka
kar sakegā na judā fāsla-e-vaqt-o-makāñ
duur nazroñ se sahī dil se magar duur nahīñ
Ghazal
chashm-e-bina ho to qaid-e-haram-o-tur nahin
vaqt ke saath na ye chal paayā
ab ḳhudā phir se banāyā jaa.e
Ghazal
pahle ye jism jalaya jae
maiñ ne 'anvar' is liye bāñdhī kalā.ī par ghaḌī
vaqt pūchheñge ka.ī mazdūr bhī raste ke biich
Sher
maine anwar is liye bandhi kalai par ghaDi
dil ne āñkhoñ tak aane meñ itnā vaqt liyā
duur thā kaise ye but-ḳhāna ab mālūm huā
Sher
dil ne aankhon tak aane mein itna waqt liya
phuul se ḳhushbū bichhaḌ jā.egī sūraj se kiran
saal se din vaqt se lamhe judā ho jā.eñge
Ghazal
zindagi se ek din mausam KHafa ho jaenge
aañkh se aañsū nikal jā.eñge aur Tahnī se phuul
vaqt badlegā to sab qaidī rihā ho jā.eñge
Ghazal
zindagi se ek din mausam KHafa ho jaenge
vaqt par us ne pahuñchne kā kahlvāyā thā
ham hī tāḳhīr se pahuñche so Thikāne se ga.e
Ghazal
KHwab sunne se gae ishq batane se gae

Top Urdushayar.com