Dagh Dehlvi

achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
achchhī sūrat pe ġhazab TuuT ke aanā dil kā
yaad aatā hai hameñ haa.e zamānā dil kā
tum bhī muñh chuum lo be-sāḳhta pyaar aa jaa.e
maiñ sunā.ūñ jo kabhī dil se fasānā dil kā
nigah-e-yār ne kī ḳhāna-ḳharābī aisī
na Thikānā hai jigar kā na Thikānā dil kā
puurī mehñdī bhī lagānī nahīñ aatī ab tak
kyūñkar aayā tujhe ġhairoñ se lagānā dil kā
ġhuncha-e-gul ko vo muTThī meñ liye aate the
maiñ ne pūchhā to kiyā mujh se bahānā dil kā
in hasīnoñ kā laḌakpan hī rahe yā allāh
hosh aatā hai to aatā hai satānā dil kā
de ḳhudā aur jagah siina o pahlū ke sivā
ki bure vaqt meñ ho jaa.e Thikānā dil kā
merī āġhosh se kyā hī vo taḌap kar nikle
un kā jaanā thā ilāhī ki ye jaanā dil kā
nigah-e-sharm ko be-tāb kiyā kaam kiyā
rañg laayā tirī āñkhoñ meñ samānā dil kā
uñgliyāñ tār-e-garebāñ meñ ulajh jaatī haiñ
saḳht dushvār hai hāthoñ se dabānā dil kā
huur kī shakl ho tum nuur ke putle ho tum
aur is par tumheñ aatā hai jalānā dil kā
chhoḌ kar us ko tirī bazm se kyūñkar jā.ūñ
ik janāze kā uThānā hai uThānā dil kā
be-dilī kā jo kahā haal to farmāte haiñ
kar liyā tū ne kahīñ aur Thikānā dil kā
ba.ad muddat ke ye ai 'dāġh' samajh meñ aayā
vahī daanā hai kahā jis ne na maanā dil kā
Top Urdushayar.com