Tags-Waqt

rakhte nahīñ nigāh taqāzoñ pe vaqt ke
tālāb ke baġhair kañval chāhte haiñ log
Ghazal
zalim se mustafa ka amal chahte hain log
ab ġhair se bhī terī mulāqāt rah ga.ī
sach hai ki vaqt jaatā rahā baat rah ga.ī
Ghazal
ab ghair se bhi teri mulaqat rah gai
farāz-e-dār se pahle kā vaqt mushkil thā
kisī kī yaad ke saa.e meñ kaT gayā āḳhir
Ghazal
mila to de ke judai chala gaya aaKHir
vaqt ke saath badalnā to bahut āsāñ thā
mujh se har vaqt muḳhātib rahī ġhairat merī
Sher
waqt ke sath badalna to bahut aasan tha
āstīñ us ne jo kuhnī tak chaḌhā.ī vaqt-e-sub.h
aa rahī saare badan kī be-hijābī haath meñ
Sher
aastin usne jo kuhni tak chaDhai waqt-e-subh
ab un ko na.ī sub.h ke paiġhām sunā do
jo tīrgī-e-vaqt se ghabrā.e hue haiñ
Ghazal
unki nigah-e-naz ke Thukrae hue hain
ġhazal-ḳhvānī kar ab ai 'mus.hafī' tark
huā qad ḳham ye vaqt-e-bandagī hai
Ghazal
sarasar KHajlat-o-sharmindagi hai
ahmaq nahīñ ki samjheñ burā vaqt Tal gayā
kuchh roz ke liye jo ye mausam badal gayā
Ghazal
ahmaq nahin ki samjhen bura waqt Tal gaya
koī Thahartā nahīñ yuuñ to vaqt ke aage
magar vo zaḳhm ki jis kā nishāñ nahīñ jaatā
Ghazal
KHayal us ka kahan se kahan nahin jata
har asr kī taḳhlīq meñ kuchh haath hai merā
maiñ vaqt ke zindāñ meñ bhī āzād rahā huuñ
Ghazal
main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun
maiñ apne usūloñ kā garāñ baar uThā.e
har vaqt havāoñ ke muḳhālif hī chalā huuñ
Ghazal
main teri hi aawaz hun aur gunj raha hun
kisī zaḳhm-e-tāza kī chaah meñ kahīñ bhuul baiThūñ na raah meñ
kisī naujavāñ kī nigāh ne jo payām vaqt-e-sahar diyā
Ghazal
kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diya
samā.at par dabāv vaqt kā muñh-zor hotā hai
ḳhamoshī ke ta.āqub meñ hamesha shor hotā hai
Ghazal
samaat par dabaw waqt ka munh-zor hota hai

Top Urdushayar.com