Meer Asar

ab ghair se bhi teri mulaqat rah gai

Meer Asar

Delhi, India

-1795
ab ġhair se bhī terī mulāqāt rah ga.ī
sach hai ki vaqt jaatā rahā baat rah ga.ī
terī sifāt se na rahā kaam kuchh mujhe
bas terī sirf dostī bizzāt rah ga.ī
kahne lagā vo haal mirā sun ke raat ko
sab qisse jā chuke ye ḳhurāfāt rah ga.ī
din intizār kā to kaTā jis tarah kaTā
lekin kaso tarah na kaTī raat rah ga.ī
bas naqd-e-jāñ hī sirf 'asar' ne kiyā nisār
ġham kī tire sab aur mudārāt rah ga.ī
Top Urdushayar.com