Tags-Dil

hālāt mire dil ko lagāne nahīñ dete
āñkhoñ meñ tire ḳhvāb sajāne nahīñ dete
Ghazal
haalat mere dil ko lagane nahin dete
kuchh ḳhvāb mirī zaat se baḌh kar bhī to haiñ jo
phir dil ko tirī aas lagāne nahīñ dete
Ghazal
haalat mere dil ko lagane nahin dete
raunaq-e-dil baḌhā.e rakhte haiñ
ġham ko mehmāñ banā.e rakhte haiñ
Ghazal
raunaq-e-dil baDhae rakhte hain
āḳhirash dil ġhurūb hotā hai
jis qadar ham bachā.e rakhte haiñ
Ghazal
raunaq-e-dil baDhae rakhte hain
dil kī tanhā.ī anjuman apnī
sab se dāman bachā.e rakhte haiñ
Ghazal
raunaq-e-dil baDhae rakhte hain
javāb dekhiye dil le ke ye kahā chupke
na ho ye aur kisī ko tire sivā ma.alūm
Ghazal
na uske nam se waqif na uski ja malum
kahā ye maiñ ne mujhe kyā ḳhabar tumhīñ jaano
kisī ke dil kī bhalā jī kisī ko kyā ma.alūm
Ghazal
na uske nam se waqif na uski ja malum
phir kisī dhyān ke sad-rāhe par
dil-e-hairat-zadā tanhā hogā
Ghazal
ishq jab zamzama-paira hoga
ye maza thā dil-lagī kā ki barābar aag lagtī
na tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā
Sher
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti
ham dostoñ ke lutf-o-karam dekhte rahe
hote rahe jo dil pe sitam dekhte rahe
Ghazal
hum doston ke lutf-o-karam dekhte rahe
ye koī tarīqa hai tanz yuuñ nahīñ karte 'shād'-ārfī-sāhib
aap jaise dil vaale is tarah nahīñ marte 'shād'-ārfī-sāhib
Nazm
buz-dili
kyuuñ sā rahtā hai kyā sā rahtā hai
dil jo khoyā huā sā rahtā hai
Ghazal
kyun sa rahta hai kya sa rahta hai
sub.h kā dil kahīñ nahīñ lagtā
shaam kā dam ghuTā sā rahtā hai
Ghazal
kyun sa rahta hai kya sa rahta hai
dil ke aane kā dil ke jaane kā
ek dhaḌkā lagā sā rahtā hai
Ghazal
kyun sa rahta hai kya sa rahta hai
ai ḳhalish bol kyā yahī hai ḳhudā
ye jo dil meñ ḳhalā sā rahtā hai
Ghazal
kyun sa rahta hai kya sa rahta hai
apne dil meñ bhī thī ta.amīr-e-makāñ kī hasrat
apnī qismat meñ magar bādiya-paimā.ī thī
Ghazal
chand lamhon ke liye anjuman-arai thi
dil ko aatā nahīñ iz.hār-e-mohabbat karnā
aur mujh ko tere inkār se Dar lagtā hai
Ghazal
ai zamane teri raftar se Dar lagta hai
ḳhayāl-e-nāvak-e-mizhgāñ meñ bas ham sar paTakte haiñ
hamāre dil meñ muddat se ye ḳhār-e-ġham khaTakte haiñ
Ghazal
KHayal-e-nawak-e-mizhgan mein bas hum sar paTakte hain
top-ḳhāne siiñ hamārī aah ke
qil.a-e-dil dhol-dhānī ho gayā
Ghazal
yar garm-e-mehrbani ho gaya

Top Urdushayar.com