Tags-Dil

tum hī qātil tum hī munsif phir bhī mujhe afsos nahīñ
āḳhir mere dil meñ kyā hai buujh sako to baat batāo
Ghazal
aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao
dil kā vīrāna bhī vahī hai terī tamannā bhī hai vahī
zulmat meñ raushan hai sitāra sahrā meñ jaltā hai alaao
Ghazal
aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao
ḳhudā shāhid hai dil par choT sī ik lag ga.ī mere
bahānā dard-e-sar kā kar ke jab us ne jabīñ pakḌī
Ghazal
kisi ne pakDa daman aur kisi ne aastin pakDi
ḳhuun ho kar bhī terī tarf bahe
tujh se rakkhe the dil jigar iḳhlās
Ghazal
humse kar tu ki ya na kar iKHlas
ḳhushiyāñ jā baiThīñ kahīñ ūñchī sī ik Tahnī par
dil ke bahlāne ko ik lafz-e-qazā rakkhā hai
Ghazal
jism ke KHol mein ek shahr-e-ana rakkha hai
dil dhaḌakne kā sabab kyā hogā
phir tujhe ḳhvāb meñ dekhā hogā
Ghazal
dil dhaDakne ka sabab kya hoga
qāfiye aate ga.e aur maiñ unheñ paiham pirotā hī gayā afkār meñ
is liye barjastagī kā rañg aur āhañg hai mere hasīn o dil-nashīñ ash.ār meñ
Nazm
qafiye aate gae
huuñ tere tasavvur meñ mirī jaañ hama-tan-chashm
dil hai mirā juuñ ā.īna hairāñ hama-tan-chashm
Ghazal
hun tere tasawwur mein meri jaan hama-tan-chashm
kaif-añgez nahīñ bāda-e-imroz na ho
dil ko hasrat-kash-e-paimāna-e-fardā bhī na kar
Ghazal
pas-e-wahshat hai to yaad-e-ruKH-e-laila bhi na kar
mahram-e-rāz-e-mohabbat hai agar dil terā
to ḳhudā ke liye is raaz ko rusvā bhī na kar
Ghazal
pas-e-wahshat hai to yaad-e-ruKH-e-laila bhi na kar
kahīñ tirī hī tarah ho gayā na ho ye dil
so Dar rahā huuñ ab us ko vakīl karte hue
Ghazal
judai mein teri aankhon ko jhil karte hue
kahāñ ga.e vo jo ābād the ḳharābe meñ
patā kisī kā dil-e-be-qarār ne na diyā
Ghazal
zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya
maiñ āp-apne liye dushmanoñ se baḌh kar thā
'ziyā' ye dil thā mirā jis ne hārne na diyā
Ghazal
zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya
ta.ajjub kyā lagī jo aag ai 'sīmāb' siine meñ
hazāroñ dil meñ añgāre bhare the lag ga.ī hogī
Sher
tajjub kya lagi jo aag ai simab sine mein
hazār baar sunā phir bhī dil nahīñ maanā
ki mere pyaar se dil us kā bhar gayā hogā
Ghazal
wahan bhi zahr-zaban kaam kar gaya hoga
pā jā.egā dil us meñ bhī taḳhsīs ke pahlū
ma.alūm ye hotā to na karte vo jafā bhī
Ghazal
aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
āñkheñ ye batātī haiñ ki dil aur kahīñ hai
kahnā thā mujhe tum se abhī is ke sivā bhī
Ghazal
aai nahin kya qaid hai gulshan mein saba bhi
shāyad ab bhī koī sharar baaqī ho 'zeb'
dil kī raakh se aañch aatī hai kam kam sī
Sher
shayad ab bhi koi sharar baqi ho zeb
tujhe paayā ki tujh ko kho diyā hai
ye akasr soch kar dil ro diyā hai
Qita
tujhe paya ki tujhko kho diya hai
tum ne dil ko jalāyā bahut
maiñ bujhātā rahā raat bhar
Ghazal
main tumhaara raha raat bhar

Top Urdushayar.com