Tags-Shaam

ye kyā ḳhabar thī ki shām-e-furqat mire liye sāzgār hogī
vo māh-o-anjum kī aaḌ le kar mire fasāne sunā kareñge
Ghazal
hazar qaid-e-jawan se chhuT kar bahaar ka aasra karenge
ham bahut duur nikal aa.e haiñ chalte chalte
ab Thahar jaa.eñ kahīñ shaam ke Dhalte Dhalte
Sher
hum bahut dur nikal aae hain chalte chalte
āñgan meñ mire dil ke chalī aa.ī thī kal shaam
thī yaad tumhārī koī jhoñkā to nahīñ thā
Ghazal
viran sa ab hun jo main aisa to nahin tha
savād-e-shām-e-ḳhizāñ hai to ho hameñ kyā ġham
nazar meñ sub.h-e-chaman ke sivā kuchh aur nahīñ
Ghazal
gulon pe KHak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin
ye shām-e-ġhurbat-e-dil hai yahāñ charāġh kahāñ
ḳhayāl-e-sub.h-e-vatan ke sivā kuchh aur nahīñ
Ghazal
gulon pe KHak-e-mehan ke siwa kuchh aur nahin
shaam āñkhoñ meñ aañkh paanī meñ
aur paanī sarā-e-fānī meñ
Ghazal
sham aankhon mein aankh pani mein
shafaq se haiñ dar-o-dīvār zard shām-o-sahar
huā hai lucknow is rahguzar meñ pilibhit
Sher
shafaq se hain dar-o-diwar zard sham-o-sahar
mutma.in hai ishq bhī shām-e-alam ke bāvajūd
husn ke chehre pe bhī aks-e-pareshānī nahīñ
Ghazal
haalat-e-bimar-e-gham par jis ko hairani nahin
tū ne ik shaam jo aane kā kiyā thā va.ada
maiñ ne din-rāt charāġhoñ ko jalā.e rakkhā
Ghazal
zat ke karb ko lafzon mein dabae rakkha
jo kashtiyoñ meñ na baiTh paa.e vo ghar na pahuñche
safar kī tā.īd shām-e-taqsīr dekhtī hai
Ghazal
hawa kuchh apne sawal tahrir dekhti hai
baaT jo hai thak ga.ī chhat par khaḌī jab dopahar
shaam kī chādar lapeTe khiḌkiyoñ meñ aa ga.ī
Ghazal
baat ruk ruk kar baDhi phir hichkiyon mein aa gai
āsmānoñ pe rañgoñ ke mele bhī the
din thā Dhaltā huā sard sī shaam meñ
Ghazal
shoala jalta hua sard si sham mein
vahshatoñ ne rag-e-jāñ ko kaaTā hai ḳhuub
dukh masaltā huā sard sī shaam meñ
Ghazal
shoala jalta hua sard si sham mein
sho.ala jaltā huā sard sī shaam meñ
man pighaltā huā sard sī shaam meñ
Ghazal
shoala jalta hua sard si sham mein
be-ḳhudī ko kahūñ kyā maiñ apnā badan
dekhūñ Dhaltā huā sard sī shaam meñ
Ghazal
shoala jalta hua sard si sham mein
kaun thā dasht meñ sañg mere kaho
saath chaltā huā sard sī shaam meñ
Ghazal
shoala jalta hua sard si sham mein
yahāñ abr-e-siyah meñ aaj tere surḳh joḌe ne
mujhe shaam o shafaq dast-o-garebāñ kar dikhā.ī hai
Ghazal
karo saman jhule ka ki ab barsat aai hai
phir aaj shaam se hī zehan ko farāġhat hai
phir aaj shab vahī yādoñ kā silsila hogā
Ghazal
hua kare agar usko koi gila hoga
sub.h ke sūraj kī zau dekhiye kab tak na aa.e
dahr pe ye rañg-e-shām dekhiye kab tak rahe
Ghazal
gardish-e-mina-o-jam dekhiye kab tak rahe
sub.h-e-nau ho ki shām-e-ġham 'aslam'
gosha-e-zāt hai ḳhamoshī hai
Ghazal
gham ki saughat hai KHamoshi hai

Top Urdushayar.com