Tags-Abroo

namāziyoñ ne tujh abrū ko dekh masjid meñ
ba-samt-e-qibla sujūd-o-qayām bhuul ga.e
Sher
namaziyon ne tujh abru ko dekh masjid mein
mārtī mujh kuuñ ai kamāñ abrū
ye palak tiir o ye nigah talvār
Ghazal
gul tere mukh ki fikr mein bimar
zulfoñ meñ kiyā qaid na abrū se kiyā qatl
tū ne to koī baat na maanī mire dil kī
Ghazal
sau qisson se behtar hai kahani mere dil ki
lagtā hai koī tiir jigar chiir ke nikle
lachke hai sitamgar tire abrū kī kamāñ dekh
Ghazal
kyun shahr mein har-samt se uThta hai dhuan dekh
taḌapne par hamāre aap rokeñge hañsī kab tak
ye māthe kī shikan kab tak ye abrū kī kajī kab tak
Ghazal
ajal hoti rahegi ishq kar ke multawi kab tak
sāz-e-īmā-e-fanā hai ālam-e-pīrī 'asad'
qāmat-e-ḳham se hai hāsil shoḳhī-e-abrū mujhe
Ghazal
pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward
chāhiye darmān-e-rīsh-e-dil bhī teġh-e-yār se
maram-e-zañgār hai vo vasma-e-abrū mujhe
Ghazal
pa-ba-daman ho raha hun bas-ki main sahra-naward
us zulf ne ham se le ke dil basta kiyā
abrū ne kajī ke Dhab ko paivasta kiyā
Rubaai
us zulf ne humse le ke dil basta kiya
dil par jis ke naqsh na ubhrīñ vo kyā abrū kaisī nazar
kitnā hī tum tiir nazar ko abrū ko shamshīr likho
Ghazal
ishqi-sahib likhna hai to koi nai tahrir likho
mubārak dair-o-ka.aba hoñ 'qalaq' shaiḳh-o-barahman ko
bichhā.eñge musallā chal ke ham mehrāb-e-abrū meñ
Sher
mubarak dair-o-kaba hon qalaq shaiKH-o-barahman ko
jab tak na thā shah-e-rag pe paḌā sāya-e-abrū
maiñ vāqif-e-shīrīnī-e-ḳhanjar na huā thā
Ghazal
aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha
kamī maiñ bhī mirī hastī kī hastī aur paidā hai
kabhī abrū bhī ban jaatā huuñ qasr-e-ābrū ho kar
Ghazal
kabhi hota hun zahir jalwa-e-husn-e-niko ho kar
furqat meñ us abrū kī galā kāTūñgā apnā
myaañ diijo use dam mirī talvār kahāñ hai
Ghazal
aaankhon mein murawwat teri ai yar kahan hai
kaun kahtā hai ḳhāl-e-mushkīñ hai
dil hai kisrā kā tāq-e-abrū meñ
Ghazal
dil ko laTka liya hai gesu mein
hai teġh o kamān kī sī nisbat
abrū ko tire hilāl ke saath
Ghazal
sohbat hai tere KHayal ke sath
zulf o abrū ne to ai jaan thā bāñdhā maarā
par tirī chashm ne kar ke mujhe be-jāñ chhoḌā
Sher
zulf o abru ne to ai jaan tha bandha mara
tire ishāra-e-abrū kā ehtirām kareñ
vajūd apnā sambhāleñ ki terā kaam kareñ
Ghazal
tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen
ġhamza-e-ma.shūq mushtāqoñ ko dikhlātī hai teġh
sūrat-e-abrū hamāre sar chaḌhī jaatī hai teġh
Ghazal
ghamza-e-mashuq mushtaqon ko dikhlati hai tegh
masrūf-e-vāz-o-pand the sultān-e-mashriqain
jo ghar se nikle khelte zohrā ke nuur ain
Marsiya
jab ran mein sar-buland ali ka alam hua
tirā har uzv pyāre ḳhush-numā hai uzv-e-dīgar siiñ
mizha siiñ ḳhūb-tar abrū o abrū siiñ bhalī añkhiyāñ
Sher
tera har uzw pyare KHush-numa hai uzw-e-digar sin

Top Urdushayar.com