Tags-Abroo

jumbisheñ us kī ġhalat haiñ ki ḳhud abrū meñ hai ḳham
us kī ta.amīl meñ ye gardish-e-ayyām ġhalat
Ghazal
aur kuchh lafz gaDhun sanat-e-iham ghalat
maar ġhamza kī balā tīr-e-nigah dast-e-sināñ
teġh-e-abrū kī sitam tarkash-e-mizhgān parī
Ghazal
ruKH pari chashm pari zulf pari aan pari
kabhī vo paas bulātā to ye dil-e-durvesh
bas ik ishāra-e-abrū pe jhūmtā jaatā
Ghazal
main sochta hun agar is taraf wo aa jata
hoñ ishāre ġhair se aur dekhūñ maiñ
bait-e-abrū kā bhī ma.anā khul gayā
Ghazal
gar kahun matlab tumhaara khul gaya
raqīb qatl huā us kī teġh-e-abrū se
harām-zāda thā achchhā huā halāl huā
Sher
raqib qatl hua uski tegh-e-abru se
abrū na sañvārā karo kaT jā.egī uñglī
nādān ho talvār se khelā nahīñ karte
Sher
abru na sanwara karo kaT jaegi ungli
ik kashish-e-ishq kamān-e-abrū kī hai terī taḌap
buad meñ jo raah thī do tiir aadhī rah ga.ī
Ghazal
qata ho kar kakul-e-shab-gir aadhi rah gai
kamāñ abrū nipaT shah-zor haigā
ki shāḳh-e-āshnā.ī toḌ Daalī
Sher
kaman abru nipaT shah-zor haiga
kiyā thā teġha-e-abrū ne muḳhtasar qissa
pa terī kākul-e-mushkīñ ne phir darāz kiyā
Ghazal
tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya
nahīñ abrū tire ruḳhsār ke sajde ke liye
aks-e-añgusht-e-shahādat ne kiyā ḳham paidā
Ghazal
humse warafta ulfat hain bahut kam paida
azal se dil hai sajda meñ tire abrū ke masjid meñ
uThātā sar nahīñ ab tak namāzī us ko kahte haiñ
Sher
azal se dil hai sajda mein tere abru ke masjid mein
jhuk ke ham ne bosa-e-abrū kī jab māñgī duā
halqa-e-āġhosh par aalam huā mehrāb kā
Ghazal
halqa halqa ghar bana laKHt-e-dil-e-betab ka
teġh-e-abrū kī to ulfat ne kiyā dil ko do-nīm
dekheñ ab kartī hai kākul kī giraftārī kyā
Ghazal
le ke dil mehr se phir rasm-e-jafa-kari kya
hāsil-e-zīst ishq hī to nahīñ
chashm-o-abrū hī zindagī to nahīñ
Ghazal
hasil-e-zist ishq hi to nahin
abrū kā ishāra kiyā tum ne to huī iid
ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā
Ghazal
puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara
mujh se nazar milā ke tum abrū meñ bal na do
sīdhā chalegā tiir na TeḌhī kamān se
Ghazal
khulta nahin hai raaz hamare bayan se
kar diyā kyā tire abrū ne ishāra qātil
ki qazā haath meñ talvār liye phirtī hai
Ghazal
sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai
ai ḳhush-abrū koī phir Dhab pe chaḌhā taaza shikār
yuuñ jo har vaqt liye tīr-o-kamāñ rahte ho
Ghazal
garche dil mein hi sada jaan-e-jahan rahte ho
jumbish abrū ko hai lekin nahīñ āshiq pe nigāh
tum kamāñ kyuuñ liye phirte ho agar tiir nahīñ
Ghazal
aashiq-e-haq hain hamin shikwa-e-taqdir nahin
kaan lagā rahtā hai ġhair us shoḳh kamāñ abrū ke bahut
is to gunāh-e-azīm pe yaaro naak meñ us kī tiir karo
Ghazal
mausam-e-gul aaya hai yaro kuchh meri tadbir karo

Top Urdushayar.com