Sheikh Ibrahim Zauq

sab ko duniya ki hawas KHwar liye phirti hai

Sheikh Ibrahim Zauq

1790-1854
sab ko duniyā kī havas ḳhvār liye phirtī hai
kaun phirtā hai ye murdār liye phirtī hai
ghar se bāhar na nikaltā kabhī apne ḳhurshīd
havas-e-garmī-e-bāzār liye phirtī hai
vo mire aḳhtar-e-tāle kī hai vāzhūñ gardish
ki falak ko bhī nigūñ-sār liye phirtī hai
kar diyā kyā tire abrū ne ishāra qātil
ki qazā haath meñ talvār liye phirtī hai
jā ke ik baar na phirnā thā jahāñ vaañ mujh ko
be-qarārī hai ki sau baar liye phirtī hai
Top Urdushayar.com