Meer Taqi Meer

mausam-e-gul aaya hai yaro kuchh meri tadbir karo

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mausam-e-gul aayā hai yaaro kuchh merī tadbīr karo
yaanī sāya-e-sarv-o-gul meñ ab mujh ko zanjīr karo
pesh-e-sa.āyat kyā jaa.e hai haq hai merī taraf so hai
maiñ to chup baiThā huuñ yaksū gar koī taqrīr karo
kaan lagā rahtā hai ġhair us shoḳh kamāñ abrū ke bahut
is to gunāh-e-azīm pe yaaro naak meñ us kī tiir karo
pher diye haiñ dil logoñ ke mālik ne kuchh merī taraf
tum bhī Tuk ai āh-o-nāla qalboñ meñ tāsīr karo
aage hī āzurda haiñ ham dil haiñ shikasta hamāre sab
harf-e-ranjish biich meñ lā kar aur na ab dil-gīr karo
sher kiye mauzūñ to aise jin se ḳhush haiñ sāhib-e-dil
roveñ kuḌheñ jo yaad kareñ ab aisā tum kuchh 'mīr' karo
Top Urdushayar.com