Bayan Meeruti

ghamza-e-mashuq mushtaqon ko dikhlati hai tegh

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
ġhamza-e-ma.shūq mushtāqoñ ko dikhlātī hai teġh
sūrat-e-abrū hamāre sar chaḌhī jaatī hai teġh
hote haiñ qurbāñ shahādat meñ gale mil kar shahīd
dosh-e-qātil par hilāl-e-īd ban jaatī hai teġh
past ḳham khaa.e hue lab ḳhushk dam Duubā huā
chalte chalte ab to o zālim thakī jaatī hai teġh
be-gunāhī kā burā ho zaḳhm-e-be-lazzat hue
dast-e-qātil meñ ba-rañg-e-bed tharrātī hai teġh
is kī gardan par mirā ḳhuuñ us kā ehsāñ mere sar
us se jhuk jaatā huuñ maiñ aur mujh se jhuk jaatī hai teġh
paar dariyā-e-shahādat se utar jaate haiñ sar
kashtī-e-ushshāq kī mallāh ban jaatī hai teġh
ḳhuun garmātā hai jab paanī meñ lahrātā huā
misl-e-māhī ḳhauf ke maare uchhal jaatī hai teġh
abrū-e-ḳhūñ-ḳhār qātil kā koī pursāñ nahīñ
ab nikaltī hai kahīñ to quraq ho jaatī hai teġh
kab bujhe is tarah hai shauq-e-shahādat kī ye pyaas
zaḳhm ke muñh meñ zabāñ ban kar nikal aatī hai teġh
marhabā jazb-e-shahādat us kā maġhrib hai gulū
aap manzil par hilāl-āsā pahuñch jaatī hai teġh
tishna-kāmo ghaaT se utre to beḌā paar hai
chashma-e-kausar chhalaktā hai ki lahrātī hai teġh
laḌtī hai chhīñTe lab-e-jū rañg kaisā laal hai
maar kar paanī meñ ġhota ḳhuuñ meñ nahlātī hai teġh
zaḳhm-e-kārī ne kahīñ muñh khol kar kuchh kah diyā
kyā huā qabze se bāhar kyuuñ huī jaatī hai teġh
jaan se ushshāq jaate haiñ guzar kaTte haiñ ġhair
pul-sirāt-e-imtihān-e-ishq kahlātī hai teġh
āftāb-e-dāġh-e-saudā kī harārat dekh kar
chhāñv meñ dil tuftgān-e-ġham ko biThlātī hai teġh
mudda.ī dar-parda kaT kaT jaate haiñ shakl-e-niyām
ai 'bayāñ' merī zabān-e-tez kahlātī hai teġh
Top Urdushayar.com