Ramz Azimabadi

tere ishaara-e-abru ka ehtiram karen

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
tire ishāra-e-abrū kā ehtirām kareñ
vajūd apnā sambhāleñ ki terā kaam kareñ
javāb de to mazā bhī mile savāloñ kā
vo aa.ina hai to phir kis tarah kalām kareñ
thakan se aañkh jhapakne lagī hai sonā hai
tujhe junūn-e-safar āḳhirī salām kareñ
bahut se kaam haiñ duniyā meñ aadmī ke liye
kisī ke vāste kyuuñ zindagī harām kareñ
ibādatoñ ke maze ḳhaas log hī lūTeñ
rivāj-e-shirk-e-mohabbat jahāñ meñ aam kareñ
ḳhatā ke hote zamān-o-makāñ kī qaid ġhalat
na.ī fazā na.ī duniyā kā intizām kareñ
laveñ charāġhoñ kī āñkhoñ meñ gum huiiñ shāyad
kahīñ se raushnī laa.eñ to fikr-e-shām kareñ
jidhar bhī jā.iye shorish-zada ilāqa hai
kahīñ bhī jā-e-amāñ hai jahāñ qayām kareñ
tamām qatra-e-shabnam hoñ qumqume jaise
nashāt rañg savere kā ehtirām kareñ
bujhe charāġhoñ meñ kaise ho nuur kī tarsīl
na ho ye fikr to phir intizār-e-shām kareñ
har aadmī ko yahāñ da.avā-e-ḳhudā.ī hai
akelī jaan hai kis kis kā ehtirām kareñ
tumheñ hai sar kī zarūrat hameñ shahādat kī
tum apnā kaam sambhālo ham apnā kaam kareñ
na fan-shanās hai koī na sher-fahm koī
kise kalām sunā.eñ kahāñ kalām kareñ
tumhārā ġham bhī hai ai 'ramz' apne ġham jaisā
matā.a-e-mushtarka ye ġhazal ke naam kareñ
Top Urdushayar.com