Tags-Dil

ātish-e-ishq-e-vatan rakhte haiñ dil meñ raushan
apnī hī aag meñ jal jal ke bujhā karte haiñ
Ghazal
jo muhibba-e-wafa hain wo wafa karte hain
chāhtā huuñ maiñ ki chāheñ aap bhī dil se mujhe
hai yahī armān aur armān kyā hai kuchh nahīñ
Ghazal
us but-e-kafir ko un ka dhyan kya hai kuchh nahin
jab kaho qurbān kar duuñ jab kaho kar duuñ nisār
ye zarā sā dil zarā sī jaan kyā hai kuchh nahīñ
Ghazal
us but-e-kafir ko un ka dhyan kya hai kuchh nahin
har hasīñ par us ko marnā aur use ġham jhelnā
dil salāmat hai to merī jaan kyā hai kuchh nahīñ
Ghazal
us but-e-kafir ko un ka dhyan kya hai kuchh nahin
tū un ko chaah chhoḌ mujhe vāchhaḌe che-ḳhush
rakkhe haiñ mere vāste dildār chaar pāñch
Ghazal
amrad hue hain tere KHaridar chaar panch
dil meñ basī haiñ kitnī tire ba.ad bastiyāñ
dariyā thā ḳhushk ho ke jazīroñ meñ baT gayā
Ghazal
aaya ufuq ki sej tak aa kar palaT gaya
gar shaiḳh ne aah kī to mat bhuul
dil meñ patthar ke bhī sharar hai
Sher
gar shaiKH ne aah ki to mat bhul
dil pe jab hotī hai yādoñ kī sunahrī bārish
saare biite hue lamhoñ ke kañval khilte haiñ
Nazm
tere pyar ka nam
in tabīboñ ko ilāj-e-ġham-e-dil kyā ma.alūm
tum ayādat ko chale aao to achchhā ho jā.ūñ
Ghazal
mujhko hona hai to darwesh ke jaisa ho jaun
dil agar baaqī rahā kis kaam kā
chain dil kā ai ḳhudā jaatā rahā
Ghazal
hath se haihat kya jata raha
ye nahīñ ki dard-e-dil dard-e-jigar kā ḳhauf thā
us ke jaane se hameñ kuchh aur bhī nuqsān the
Ghazal
jo hamare waste sab din the iman the
jaane kyoñ saare jahāñ kā dard is dil ko milā
is jahāñ meñ ham se achchhe aur bhī insān the
Ghazal
jo hamare waste sab din the iman the
din Dhalne lagā dil-zadagāñ dil kī ḳhabar lo
ik silsila-e-hijr bhī hai shaam ke aage
Ghazal
kuchh bas na chala jazba-e-KHud-kaam ke aage
ik sehr sā taarī thā 'zahīr' ahl-e-ḳhirad par
the mohr-ba-lab husn-e-dil-ārām ke aage
Ghazal
kuchh bas na chala jazba-e-KHud-kaam ke aage
dil ko le jī ko ab lubhāte ho
is liye ban banā ke aate ho
Ghazal
dil ko le ji ko ab lubhate ho
ḳhushk āñkhoñ ke ās-pās kahīñ
dil ne ik jhiil sī banā lī hai
Ghazal
KHud se usne najat pa li hai
ek tasvīr ko haTāyā bas
dil kī dīvār ḳhālī ḳhālī hai
Ghazal
KHud se usne najat pa li hai
ulfat ho kisī kī na mohabbat ho kisī kī
pahlū meñ na dil ho na ye hālat ho kisī kī
Sher
ulfat ho kisi ki na mohabbat ho kisi ki
yahī hai dil se shikāyat ki merā mahram-e-rāz
mujhī se dast-o-girebāñ hai dekhiye kyā ho
Ghazal
kisi ki ishwa-gari se ba-ghair-e-fasl-e-bahaar
ḳhushk ho jā.eñgī āñkheñ aur chhaT jā.egā abr
zaḳhm-e-dil vaise kā vaisā aur harā rah jā.egā
Ghazal
zindagi aur maut ka yun rabta rah jaega

Top Urdushayar.com