Tags-Sharab

āñkheñ haiñ kaTorā sī vo sitam gardan hai surāhī-dār ġhazab
aur usī meñ sharāb-e-surḳhi-e-pāñ rakhtī hai jhalak phir vaisī hī
Ghazal
shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi
bosāñ labāñ siiñ dene kahā kah ke phir gayā
pyāla bharā sharāb kā afsos gir gayā
Sher
bosan laban sin dene kaha kah ke phir gaya
huzūr-e-duḳhtar-e-raz haath paañv kāñpte haiñ
tamām mastoñ ko ra.asha hai rū-ba-rū-e-sharāb
Sher
huzur-e-duKHtar-e-raz hath panw kanpte hain
kaffāra-e-sharāb maiñ detā huuñ naqd-e-hosh
sargarm huuñ talāfī-e-a.amāl-e-zisht meñ
Ghazal
kabe se mujhko lae sawad-e-kunisht mein
'mīr' un nīm-bāz āñkhoñ meñ
saarī mastī sharāb kī sī hai
Sher
mir un nim-baz aankhon mein
janāb-e-shaiḳh ko sūjhe na phir harām o halāl
abhī piyeñ jo mile muft kī sharāb kahīñ
Sher
janab-e-shaiKH ko sujhe na phir haram o halal
nashsha us kī nashīlī āñkhoñ kā
sab se achchhī sharāb jaisā hai
Ghazal
jis ka chehra gulab jaisa hai
ki hazār pyāloñ kā hai nasha
tere ek qatra sharāb meñ
Ghazal
hain ye rind-o-saqi hisab mein
hue haiñ jab se vo kaif-e-nigah ke ā.ina-dār
bajā.e ashk bharī hai sharāb āñkhoñ meñ
Ghazal
nahin hai ashk se ye KHun-e-nab aankhon mein
sakūñ milā hai magar iztirāb jaisā hai
tire badan kā fusūñ bhī sharāb jaisā hai
Ghazal
sakun mila hai magar iztirab jaisa hai
kabhī haath meñ jo sharāb lī vahīñ tum ne chhīn ke pheñk dī
mujhe yaad hai mire pārsā tumheñ yaad ho ki na yaad ho
Ghazal
hue mujhse jis ghaDi tum juda tumhein yaad ho ki na yaad ho
mīnā-e-mai hai sarv nashāt-e-bahār se
bāl-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharāb hai
Ghazal
raftar-e-umr qat-e-rah-e-iztirab hai
duḳht-e-raz aur tū kahāñ miltī
khīñch laa.e sharāb-ḳhāne se
Ghazal
rok de maut ko bhi aane se
hai terā aks ki mere ġhamoñ kā saayā hai
nazar to aatā hai paimāna-e-sharāb meñ kuchh
Ghazal
maani lafzon ke piri mein kuchh shabab mein kuchh
har ek ghūñT meñ yaksāñ nahīñ thī talḳhi-e-mai
ki ghol dete haiñ hālāt bhī sharāb meñ kuchh
Ghazal
maani lafzon ke piri mein kuchh shabab mein kuchh
chhalak ke kam na ho aisī koī sharāb nahīñ
nigāh-e-nargis-e-ra.anā tirā javāb nahīñ
Sher
chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin
ḳhudā kī shaan hai ye baat aur muñh un kā
'nizām' phir karūñ tauba sharāb piine se
Ghazal
wo aise bigDe hue hain kai mahine se
havā bahisht ke bāġhoñ kī zulf zulf phire
tirī lahad tire bālīñ ke gard jū-e-sharāb
Ghazal
gale se der talak lag ke roen abr-o-sahab
mujh se dariyā-nosh ko saaqī pilātā hai sharāb
dekhtā huuñ maiñ bhī zarf-e-shīsha-o-paimāna aaj
Sher
mujhse dariya-nosh ko saqi pilata hai sharab

Top Urdushayar.com