Tags-Rang

asīrī dil-e-āshufta rañg lā ke rahī
tamām turra-e-tarrār taar taar kiyā
Ghazal
ghazab kiya tere wade pe etibar kiya
jis kī mehnat kā araq tayyār kartā hai sharāb
uḌ ke jis kā rañg bin jaatā hai jāñ-parvar gulāb
Nazm
kisan
nāzir-e-gul pāsbān-e-rañg-o-bū gulshan-panāh
nāz-parvar lahlahātī khetiyoñ kā bādshāh
Nazm
kisan
vus.ateñ maidān kī sūraj ke chhup jaane se tañg
sabza-e-afsurda par ḳhvāb-āfrīñ halkā sā rañg
Nazm
kisan
lahar khātā hai rag-e-ḳhāshāk meñ jis kā lahū
jis ke dil kī aañch ban jaatī hai sail-e-rañg-o-bū
Nazm
kisan
rañg-e-māhaul badalne kī zarūrat bhī durust
kaun kahtā hai ki hālāt pe tanqīd na kar
Nazm
wirsa
hech hai har chiiz zevar ġhāza afshāñ rañg o ḳhaal
husn ḳhud apnī jagah hai sau kamāloñ kā kamāl
Nazm
KHatun-e-mashriq
vo harārat tere hoñToñ kī na hogī pā.emāl
jiske sho.aloñ se nikhar jaatā hai rañg-e-naunihāl
Nazm
KHatun-e-mashriq
aurteñ bechaiñgī jab stage par bā-raqs-o-chañg
apnī āñkhoñ kī lagāvaT apne ruḳhsāroñ kā rañg
Nazm
KHatun-e-mashriq
sach batā tū bhī hai kyā ai kushta-e-sad-hirs-o-āz
rāz-dān-e-kākul-e-shab-rañg o chashm-e-nīm-bāz
Nazm
naqqad
rahm ai naqqād-e-fan ye kyā sitam kartā hai tū
koī nok-e-ḳhār se chhūtā hai nabz-e-rañg-o-bū
Nazm
naqqad
dil meñ ik rañg hai lafzoñ se jo hotā hai ayaañ
lai kī muhtāj nahīñ hai mirī fariyād-o-fuġhāñ
Nazm
dard-e-dil
kis ko ma.alūm thī is gulshan-e-aḳhlāq kī raah
maiñ ne phūloñ ko kiyā rañg-e-vafā se āgāh
Nazm
dard-e-dil
rañg dikhlātī hai yuuñ dil kī safā yāroñ meñ
raushnī sub.h kī jis tarah ho gulzāroñ meñ
Nazm
dard-e-dil
rañg-e-gul dekh ke dil qaum kā dīvāna huā
jo thā bad-ḳhvāh-e-chaman sabza-e-begāna huā
Nazm
dard-e-dil
pattī pattī se huā rañg-e-vafā kā iz.hār
naujavānān-e-chaman ban ga.e tasvīr-e-bahār
Nazm
dard-e-dil
aur hī rañg pe hai aaj bahār-e-gulshan
sair ke vāste aa.e haiñ azīzān-e-vatan
Nazm
dard-e-dil
har baras rañg pe aatā hī gayā ye gulzār
phuul tahzīb ke khilte ga.e miTte ga.e ḳhaar
Nazm
dard-e-dil
kyā kahūñ rañg-e-javānī meñ jo is raag ke the
bāġhbāñ ho ga.e gulchīñ jo mere baaġh ke the
Nazm
dard-e-dil
terā chehra arġhavānī terā dil-e-be-āb-o-rañg
zindagī kyā hai tirī qānūn se fitrat ke jañg
Nazm
tawaif

Top Urdushayar.com