Sahir Ludhianvi

wirsa

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
ye vatan terī mirī nasl kī jāgīr nahīñ
saiñkaḌoñ nasloñ kī mehnat ne sañvārā hai ise
kitne zehnoñ kā lahū kitnī nigāhoñ kā araq
kitne chehroñ kī hayā kitnī jabīnoñ kī shafaq
ḳhaak kī nazr huī tab ye nazāre bikhre
pattharoñ se ye tarāshe hue asnām-e-javāñ
ye sadāoñ ke ḳham-o-pech ye rañgoñ kī zabāñ
chimniyoñ se ye nikaltā huā pur-pech dhuāñ
terī taḳhlīq nahīñ hai mirī taḳhlīq nahīñ
ham agar zid bhī kareñ us pe to tasdīq nahīñ
ilm suulī pe chaḌhā tab kahīñ taḳhmīna banā
zahr sadiyoñ ne piyā tab kahīñ naushīna banā
saiñkaḌoñ paañv kaTe tab kahīñ ik ziina banā
tere qadmoñ ke tale yā mire qadmoñ ke tale
nau-e-insāñ ke shab-o-roz kī taqdīr nahīñ

ye vatan terī mirī nasl kī jāgīr nahīñ
saiñkaḌoñ nasloñ kī mehnat ne sañvārā hai ise
terā ġham kuchh bhī sahī merā alam kuchh bhī sahī
ahl-e-sarvat kī siyāsat kā sitam kuchh bhī sahī
kal kī nasleñ bhī koī chiiz haiñ ham kuchh bhī sahī
un kā virsa huuñ khañDar ye sitam ījād na kar
terī taḳhlīq nahīñ tū ise barbād na kar
jis se dahqān ko rozī nahīñ milne paatī
maiñ na dūñgā tujhe vo khet jalāne kā sabaq
fasl baaqī hai to taqsīm badal saktī hai
pal salāmat hai to tū paar utar saktā hai
chāhe tablīġh baġhāvat ke liye hī utre
varna 'ġhālib' kī zabāñ meñ mire hamdam mire dost
daam har mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg
soch le phir koī ta.amīr girāne jaanā
terī ta.amīr se hai jañg ki taḳhrīb se jañg
ahal-e-mansab haiñ ġhalat-kār to un ke mansab
terī tā.īd se Dhāle ga.e to mujrim hai
merī tā.īd se Dhāle ga.e maiñ mujrim huuñ
paTriyāñ rail kī saḌkoñ kī baseñ phone ke taar
un pe kyuuñ zulm ho jin kī koī taqsīr nahīñ
ye vatan terī mirī nasl kī jāgīr nahīñ
saiñkaḌoñ nasloñ kī mehnat ne sañvārā hai ise
terā shikva bhī bajā merī shikāyat bhī durust
rañg-e-māhaul badalne kī zarūrat bhī durust
kaun kahtā hai ki hālāt pe tanqīd na kar
hukmarānoñ ke ġhalat da.avoñ kī tardīd na kar
tujh ko iz.hār-e-ḳhayālāt kā haq hāsil hai
aur ye haq koī tārīḳh kī ḳhairāt nahīñ
tere aur mere rafīqoñ ne lahū de de kar
zulm kī ḳhaak meñ is haq kā shajar boyā thā
sālhā-sāl meñ jo barg-o-samar laayā hai
apnā haq maañg magar un ke ta.āvun se na maañg
jo tire haq kā tasavvur hī fanā kar Dāleñ
haath uThā apne magar un ke jilau meñ na uThā
jo tire haath tire tan se judā kar Dāleñ
ḳhvāb-e-āzādī insāñ kī ye ta.abīr nahīñ
ye vatan terī mirī nasl kī jāgīr nahīñ
Top Urdushayar.com