Tags-Maut

bichhaḌnā bhī tumhārā jīte-jī kī maut hai goyā
use kyā ḳhaak lutf-e-zindagī jis se judā tum ho
Ghazal
mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho
shīrīñ hai zahr maut kā ai talḳhī-e-hayāt
jī chāhtā hai aaj tirā jaam toḌ duuñ
Ghazal
gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun
jab maut aa ga.ī to na.ī zindagī milī
ab bahr-e-zindagī kā kinārā nahīñ rahā
Ghazal
mera wajud usko gawara nahin raha
jiine meñ iḳhtiyār nahīñ varna ham-nashīñ
ham chāhte haiñ maut to apnī ḳhudā se aaj
Ghazal
aae hain mir munh ko banae KHafa se aaj
dekh ye tū nahīñ hai to dekh ye meñ nahīñ huuñ maiñ
maut alag mo.āmla ain-e-visāl aur shai
Ghazal
jamal-o-KHayal-o-tazgi, sheri jamal aur shai
miyāñ bas maut hī sach hai vahāñ ye likh gayā koī
jahāñ par zindagānī zindagānī likh rahe the ham
Ghazal
yun apni pyas ki KHud hi kahani likh rahe the hum
ishq ke āzārī bhī kahīñ mar jaane se jī jaate haiñ
le ye tasallī rahne de ai maut ye terā kaam nahīñ
Ghazal
lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin
zindagī ban ga.ī adū sī 'shujā.a'
aur hameñ maut bhī nahīñ aa.ī
Ghazal
uske aane pe bhi nahin aai
phir havā vaqt ke hāthoñ meñ hai talvār kī mānind ravāñ
phir sulagtā huuñ faqat maut mujhe bhātī hai
Nazm
faqat maut mujhe bhati hai
har ek saañs pe dhaḌkā hai maut kā 'ābid'
ye zindagī hai ki hai ghar kisī vadere kā
Ghazal
hawa ke ruKH pe khula baadban andhere ka
maut ke aate hī ham ko ḳhud-baḳhud niind aa ga.ī
kyā usī kī yaad meñ karte the shab-bedāriyāñ
Ghazal
barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan
dariyā ke madd-o-jazr bhī paanī ke khel haiñ
hastī hī ke karishme haiñ kyā maut kyā hayāt
Ghazal
ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat
dam nikaltā butoñ pe kyā lekin
ye bhī ik maut kā bahāna huā
Ghazal
wo kabhi mail-e-wafa na hua
khulā hai umr kī shām-e-hazīñ meñ raaz ye 'pāshī'
ki har dam maut ko bhī saath rakhtī hai hayāt apne
Ghazal
hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
nahīñ gar dekh saktī maut se laḌte hue mujh ko
to phir ai zindagī le jā tū saare iltifāt apne
Ghazal
hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
kaun kahtā hai ki maut aa.ī to mar jā.ūñgā
maiñ to dariyā huuñ samundar meñ utar jā.ūñgā
Ghazal
kaun kahta hai ki maut aai to mar jaunga
maiñ ro rahā huuñ jo dil ko to bekasī ke liye
vagar na maut to duniyā meñ hai sabhī ke liye
Ghazal
main ro raha hun jo dil ko to bekasi ke liye
maut ke be-rahm hāthoñ ko bahāne kī talāsh
zindagī ke saath koī hādisa honā hī thā
Ghazal
main bhi kya karta ki isko bewafa hona hi tha
ai maut unheñ bhulā.e zamāne guzar ga.e
aa jā ki zahr khaa.e zamāne guzar ga.e
Ghazal
ai maut unhen bhulae zamane guzar gae
nā-karda gunāhoñ kī sazā maut milī hai
phir karda-gunāhoñ kī sazā kyuuñ nahīñ dete
Ghazal
tum achchhe masiha ho dawa kyun nahin dete

Top Urdushayar.com