Meer Taqi Meer

aae hain mir munh ko banae KHafa se aaj

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aa.e haiñ 'mīr' muñh ko banā.e ḳhafā se aaj
shāyad bigaḌ ga.ī hai kuchh us bevafā se aaj
vāshud huī na dil ko faqīroñ ke bhī mile
khultī nahīñ girah ye kasū kī duā se aaj
jiine meñ iḳhtiyār nahīñ varna ham-nashīñ
ham chāhte haiñ maut to apnī ḳhudā se aaj
saaqī Tuk ek mausam-e-gul kī taraf bhī dekh
Tapkā paḌe hai rañg chaman meñ havā se aaj
thā jī meñ us se miliye to kyā kyā na kahiye 'mīr'
par kuchh kahā gayā na ġham-e-dil hayā se aaj
Top Urdushayar.com