Haidar Ali Aatish

barq ko us par abas girne ki hain tayyariyan

Haidar Ali Aatish

Faizabad, Uttar pradesh, India

1778-1847
barq ko us par abas girne kī haiñ tayyāriyāñ
barg-e-gul hī āshiyāñ ko apne hai chiñgāriyāñ
ahd-e-tiflī meñ bhī thā maiñ bas-ki saudā.ī-mizāj
beḌiyāñ minnat kī bhī pahnīñ to maiñ ne bhāriyāñ
maut ke aate hī ham ko ḳhud-baḳhud niind aa ga.ī
kyā usī kī yaad meñ karte the shab-bedāriyāñ
ai ḳhat us ke gore gāloñ par ye tū ne kyā kiyā
chāñdnī rāteñ yakāyak ho ga.iiñ añdhyāriyāñ
ḳhanda-e-gul se sadā-e-nāla aatī hai mujhe
ḳhūn-e-bulbul se magar sīñchī ga.ī haiñ kyāriyāñ
ḳhaak kā putlā bhī aahan se hai saḳhtī meñ fuzūñ
jism par insāñ ke talvāreñ huī haiñ āriyāñ
ḳhauf-e-ḳhāliq hai vagarna mohtasib kyā maal hai
ḳhān-e-qāzī meñ jā kar kījiye mai-ḳhvāriyāñ
kuchh hamīñ ḳhālī nahīñ karte haiñ ye dair-e-ḳharāb
phir ga.e haiñ yaar yūñhī apnī apnī bāriyāñ
hukm kar 'ātish' ki bāzār-e-mohabbat band ho
ab kareñ TaTpūjiye garm apnī dūkāñ-dāriyāñ
Top Urdushayar.com