Tags-Dil

ḳhuun dil kā huā to ye jaanā
naqsh kyuuñ der-pā nahīñ hotā
Ghazal
koi pahra laga nahin hota
kuchh to dil se kahā hai āñkhoñ ne
zaḳhm-e-dil kyā harā nahīñ hotā
Ghazal
koi pahra laga nahin hota
uThā kar taaq se shīsha lagā chhātī se dilbar ko
nashoñ meñ aish ke kyā kyā kiyā dil sair āñdhī meñ
Ghazal
bagule uTh chale the aur na thi kuchh der aandhi mein
kidhar ga.ī shab-e-dil kī niDhāl sī bastī
kahāñ gayā ġham-e-rafta savāl thā us kā
Ghazal
baras gaya jo badan par jamal tha us ka
agarche dil to hameñ tum se kuchh aziiz nahīñ
pa kyā karoge ki aisī to kuchh ye chiiz nahīñ
Sher
agarche dil to hamein tum se kuchh aziz nahin
be-ḳhudī meñ le liyā bosa ḳhatā kiije muaaf
ye dil-e-betāb kī saarī ḳhatā thī maiñ na thā
Sher
be-KHudi mein le liya bosa KHata kije muaf
aaj der tak sulgī terī yaad kī ḳhushbū
dil kī baat dil se thī sardiyoñ kī shāmoñ meñ
Ghazal
aanch to diye ki thi sardiyon ki shamon mein
ye dil to kahtā hai ab āzmā.eñ ḳhushiyoñ ko
bahut dinoñ se ye mātam udaas karte nahīñ
Ghazal
ab intizar ke mausam udas karte nahin
aañkh kahāñ hai ek aafat goyā rakkhī hai chehre par
dil kab hai mere pahlū meñ ek tamāshā rakkhā hai
Ghazal
ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai
baham ik muḳhtasar se dil meñ haiñ shādī o ġham donoñ
ye chhoTā sā makāñ aur is meñ dozaḳh bhī hai jannat bhī
Sher
baham ek muKHtasar se dil mein hain shadi o gham donon
haath jab mausam ke giile ho ga.e haiñ
zaḳhm dil ke aur gahre ho ga.e haiñ
Ghazal
hath jab mausam ke gile ho gae hain
dil ke zaḳhmoñ kī ḳhabar hone na dī ashkoñ ko
ġham kā āñkhoñ se sarokār nahīñ hone diyā
Ghazal
aapsi baaton ko aKHbar nahin hone diya
saḳht lafzoñ meñ bhī detī hai mazā baat us kī
us ne lahje ko dil-āzār nahīñ hone diyā
Ghazal
aapsi baaton ko aKHbar nahin hone diya
bujh rahī hai aañkh ye jism hai jumūd meñ
ai makīn-e-shahr-e-dil aa mirī hudūd meñ
Ghazal
bujh rahi hai aankh ye jism hai jumud mein
paḌ ga.ī darāḌ sī kyā darūn-e-dil kahīñ
aa ga.ī shikastagī kyuuñ mire vajūd meñ
Ghazal
bujh rahi hai aankh ye jism hai jumud mein
ḳhvāhish-e-qadam ki hoñ us taraf hī gāmzan
dil kī aarzū rahe us kī hī quyūd meñ
Ghazal
bujh rahi hai aankh ye jism hai jumud mein
ā.īna-e-dil meñ kuchh agar hai
terā hī jamāl jalva-gar hai
Ghazal
aaina-e-dil mein kuchh agar hai
yahīñ ḳhatm hai bahs-e-me.ār-e-husn
jo dil le gayā dilrubā ho gayā
Ghazal
bura ho gaya ya bhala ho gaya
دل زندہ و بيدار اگر ہو تو بتدريج
بندے کو عطا کرتے ہيں چشم نگراں اور
Nazm
حال ومقام
dekh kar husn butoñ kā jo ḳhudā se phir jaa.e
dil-e-gumrāh ko phir raah pe lā hī na sakūñ
Ghazal
lunj wo pa-e-talab hun kahin ja hi na sakun

Top Urdushayar.com