Tags-Dil

ab āh-o-zārī-e-ġham-ḳhvār kā fareb khulā
ye mehrbāñ bhī vahīñ dil lagā ke baiThe haiñ
Ghazal
ujaD ke ghar se sar-e-rah aa ke baiThe hain
nām-e-vafā pe de ke jaan dil ne vafā ḳharīd lī
thī bhī ḳharīdne kī chiiz ḳhuub kiyā ḳharīd lī
Ghazal
nam-e-wafa pe de ke jaan dil ne wafa KHarid li
zabt kā dil meñ kar ke ahd un se baḌhāyā mel-jol
dard se pahle dard kī ham ne davā ḳharīd lī
Ghazal
nam-e-wafa pe de ke jaan dil ne wafa KHarid li
na jaane kitne hijāboñ meñ vo chhupā hai magar
nigāh-e-dil se jo dekhūñ to be-hijāb hai vo
Ghazal
ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo
vo mujh se pūchhne aayā hai merā haal 'afzal'
jise batā na sakūñ dil meñ iztirāb hai vo
Ghazal
ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo
dil kī bāteñ dūsroñ se mat kaho luT jāoge
aaj kal iz.hār ke dhandhe meñ hai ghāTā bahut
Sher
dil ki baaten dusron se mat kaho luT jaoge
parde vaale bhī kahīñ aate haiñ ghar se bāhar
ab jo aa baiThe ho tum dil meñ to baiThe rahnā
Sher
parde wale bhi kahin aate hain ghar se bahar
dil lagānā chāhiye chal kar kisī haivān se
darj.hā behtar haiñ ye is daur ke insān se
Ghazal
dil lagana chahiye chal kar kisi haiwan se
dil dukhānā tumhārī fitrat hai
choT khānā hamārī aadat hai
Ghazal
dil dukhana tumhaari fitrat hai
jhāñk kar ek baar āñkhoñ meñ
ḳhud hī paḌh lo jo dil kī hālat hai
Ghazal
dil dukhana tumhaari fitrat hai
mehñdī ne ġhazab donoñ taraf aag lagā dī
talvoñ meñ udhar aur idhar dil meñ lagī hai
Sher
mehndi ne ghazab donon taraf aag laga di
raat jab tak mire pahlū meñ vo dildār na thā
dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokār na thā
Ghazal
raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha
dil ko dhar nok-e-sināñ par vo ye bolā hañs ke
ham ne mansūr ko dekhā ba-sar-e-dār na thā
Ghazal
raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha
ehsān tirā dil mirā kyā yaad karegā
jo ḳhaak ko us kī na tū barbād karegā
Ghazal
ehsan tera dil mera kya yaad karega
juz ġham ke na hāsil huā sohbat meñ kisū kī
is dil ko ilāhī koī bhī shaad karegā
Ghazal
ehsan tera dil mera kya yaad karega
haq-ta.ālā us ke zulfoñ se bachā.e al-hazar
sāmnā hai do balāoñ kā mirā dil ek hai
Ghazal
KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai
sham.a chaltī hai to parvāne bhī jal jaate haiñ saath
vaah kyā in āshiq-o-māshūq kā dil ek hai
Ghazal
KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai
us kī zulfoñ kā tasavvur hai jo har dam dil-nashīñ
maiñ samajhtā huuñ ki do lailā haiñ mahmil ek hai
Ghazal
KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai
judā hogī kasak dil se na us kī
judā hote hue achchhā lagā thā
Sher
juda hogi kasak dil se na uski
muqābil-e-saf-e-a.adā jise kiyā āġhāz
vo jañg apne hī dil meñ tamām hotī rahī
Ghazal
hamin se apni nawa ham-kalam hoti rahi

Top Urdushayar.com