Tags-Waqt

guzarte vaqt kī sūrat harīf bhī na rahe
burī nigāh na lahje karaḳht kuchh bhī nahīñ
Ghazal
ba-juz mata-e-dil-e-laKHt-laKHt kuchh bhi nahin
schōl kā vo vaqt mujhe ab bhī yaad hai
paḌhtā thā us kā chehra maiñ apne class meñ
Ghazal
ab bhi main yar hun zara hosh-o-hawas mein
vaqt rone ke āh-e-sozāñ se
dāman-e-abr ko jalā dūñgā
Ghazal
main wo aatish-e-nafas hun aag abhi
vaqt rahtā nahīñ kahīñ Tik kar
aadat is kī bhī aadmī sī hai
Ghazal
sham se aankh mein nami si hai
lab pe har-vaqt fuġhāñ ho ye zarūrī to nahīñ
ham-navā dil kī zabāñ ho ye zarūrī to nahīñ
Ghazal
gham-e-dil ruKH se ayan ho ye zaruri to nahin
ek hī vaqt meñ pyāse bhī haiñ sairāb bhī haiñ
ham jo sahrāoñ kī miTTī ke ghaḌe hote haiñ
Ghazal
dhup mein saya bane tanha khaDe hote hain
vaqt ne kī thī raqam us ghaḌī ik umda misāl
zindagī thī jo tire saath batāne kī nahīñ
Ghazal
mujh pe TuTi jo siyah-raat batane ki nahin
zindagī mast thī tab apnī fazāoñ meñ magan
khelī thī vaqt ne jo ghaat batāne kī nahīñ
Ghazal
mujh pe TuTi jo siyah-raat batane ki nahin
kuchh vaqt zarā aur nahar duudh kī legī
farhād ko tesha nahīñ manzūr huā hai
Sher
kuchh waqt zara aur nahar dudh ki legi
vaqt kā paiham yuuñ hai taqāzā rahbar-e-sad-sāla ko haTā do
jaise purānī chiiz kā akasr hotā hai nīlām munāsib
Ghazal
shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib
samjhā de jā ke tū hī unheñ ai nigāh-e-yās
ab kosne kā vaqt nahīñ hai duā kareñ
Ghazal
humse wafa karen ki wo hum par jafa karen
saare alfāz ġhazal jaise the guftār ke vaqt
rañg-e-iz.hār-e-tamannā bhī ġhazal jaisā thā
Ghazal
nam KHushbu tha sarapa bhi ghazal jaisa tha
na socho vaqt bahut kam hai zindagī kam hai
jo ho sake to karo gardish-e-mudām shurūa
Ghazal
jahan se hota hai pyare KHuda ka nam shurua
vaqt-e-ruḳhsat kahīñ taare kahīñ jugnū aa.e
haar pahnāne mujhe phuul se baazū aa.e
Ghazal
meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae
phisaltī ret sā hāthoñ se gir gayā thā jo
vo guzrā vaqt kabhī phir ghaḌī meñ lauT aa.e
Ghazal
ye ban-sanwar ke meri sadgi mein lauT aae
kabhī vo vaqt bhī aa.egā tum bhī jānoge
tumhārī diid kisī kī hayāt hotī hai
Ghazal
kisi ka dekh ke dhime se muskura dena
dhonā hai vaqt-e-āḳhir muñh kī mujhe siyāhī
ai ashk-e-sharm ab bhī mauqa hai shust-o-shū kā
Ghazal
munh zer-e-tak khola waiz bahut hi chuka
ik bujhtī lakḌī se ik sho.ala lahrāyā hai jis vaqt
ḳhāna-ba-doshoñ ke ḳheme meñ baat chhiḌī maTiyāroñ kī
Ghazal
dil ai dil ye tarz nahin kuchh ishq ke ohde-daron ki
kaise guzrā paḌh ke andāza lagā lo
vaqt kī tafsīr chehre par likhī hai
Ghazal
ja chuka tufan lekin kapkapi hai
jā chukā tūfān lekin kapkapī hai
vaqt kī dīvār ab tak hil rahī hai
Ghazal
ja chuka tufan lekin kapkapi hai

Top Urdushayar.com