Riyaz Khairabadi

humse wafa karen ki wo hum par jafa karen

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
ham se vafā kareñ ki vo ham par jafā kareñ
paa.eñ ḳhudā se ham jo butoñ se daġhā kareñ
sayyād uḌā diyā mujhe sar se utaar kar
sadqe tire humā tire sar par uḌā kareñ
vo din ḳhudā dikhā.e ki ham bhī unheñ satā.eñ
ye nāznīñ hasīn hamārā gilā kareñ
āñkhoñ meñ ashk aa.e to hañsne kā lutf kyā
itnā na gudgudāo ki ham ro diyā kareñ
samjhā de jā ke tū hī unheñ ai nigāh-e-yās
ab kosne kā vaqt nahīñ hai duā kareñ
rakh leñ ham aap laao dil-e-be-qarār meñ
aisā na ho ki tiir tumhāre ḳhatā kareñ
ham laakh pārsāoñ ke ik pārsā sahī
mauqe se tum ko paa.eñ to batlāo kyā kareñ
pazhmurda phuul ban ke rahe nā-murād dil
khil kar tumhāre haar kī kaliyāñ hañsā kareñ
vo din kahāñ 'riyāz' vo rāteñ kahāñ 'riyāz'
baiThe hue kisī kī balā.eñ liyā kareñ
Top Urdushayar.com