Tags-Shokhi

umañD aate the jab ashk-e-mohabbat us kī palkoñ tak
Tapaktī thī dar-o-dīvār se shoḳhī tabassum kī
Nazm
ek ghamgin yaad
hinā tere kaf-e-pā ko na us shoḳhī se sahlātī
ye āñkheñ kyuuñ lahū rotīñ unhoñ kī niind kyuuñ jaatī
Ghazal
tajalli gar teri past o buland un ko na dikhlati
shoḳhī se kisī tarah se chain us ko nahīñ hai
aatā hai magar aa ke tavaqquf nahīñ kartā
Ghazal
dekhun to kahan tak wo talattuf nahin karta
shoḳhī meñ sharārat meñ matānat meñ hayā meñ
jo raaz kā aalam thā vahī raaz kā aalam
Ghazal
sar-ta-ba-qadam ek hasin raaz ka aalam
junūn-e-shauq kā aalam hama mastī sahī lekin
ye aalam bhī javāb-e-shoḳhi-e-paiġhām kyā hogā
Ghazal
tamanna ban gai hai maya-e-ilzam kya hoga
dekh us chashm-e-mast kī shoḳhī
jab kisī pārsā se laḌtī hai
Ghazal
aankh us pur-jafa se laDti hai
nikaltī hai tapish meñ bismiloñ kī barq kī shoḳhī
ġharaz ab tak ḳhayāl-e-garmī-e-raftār qātil hai
Ghazal
hujum-e-gham se yan tak sar-niguni mujhko hasil hai
shoḳhī-o-bazla-sanjī doshīzgī vahī hai
ma.asūmiyat ga.ī bas ehsās-e-āgahī se
Ghazal
har-samt tazgi si jharnon ki naghmagi se kitni
pūchhā jo maiñ ne yaar se anjām-e-soz-e-ishq
shoḳhī se ik charāġh ko us ne bujhā diyā
Sher
puchha jo maine yar se anjam-e-soz-e-ishq
donoñ ne baḌhā.ī raunaq-e-husn
shoḳhī ne kabhī kabhī hayā ne
Sher
donon ne baDhai raunaq-e-husn
udhar paas chilman ke maujūd the vo idhar the pareshān un ke fidā.ī
rahā sharm-o-shoḳhī kā dilkash tamāshā na jalva dikhāyā na sūrat chhupā.ī
Ghazal
teri tund-KHui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai
maiñ apne ḳhuun kā beḌā uThā.ūñ ḳhud kyūñkar
vo paan dete haiñ shoḳhī se muskurā ke mujhe
Ghazal
hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe
duhā.iyāñ haiñ shab-e-vasl apnī shoḳhī se
ki luuTe lete haiñ joban hasīn pā ke mujhe
Ghazal
hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe
vo kahte haiñ shoḳhī se ham dilrubā haiñ
hameñ dil navāzī kī aadat nahīñ hai
Ghazal
tere dard se jis ko nisbat nahin hai
dikhlā ke vo to le bhī gayā shoḳhi-e-ḳhirām
ab tak haiñ raqs meñ dar o dīvār dekhiye
Ghazal
wo to gaya ye dida-e-KHun-bar dekhiye
mere fikr-o-fan kī azmat āḳhirash
shoḳhi-e-tahrīr ho kar rah ga.ī
Ghazal
aarzu tadbir ho kar rah gai
shoḳhī kisī meñ hai na sharārat hai ab 'obaid'
bachche hamāre daur ke sanjīda ho ga.e
Sher
shoKHi kisi mein hai na shararat hai ab obaid
andāz meñ shoḳhī meñ sharārat meñ hayā meñ
vaañ ek na ik baat nikaltī hī rahegī
Ghazal
jaan uski adaon par nikalti hi rahegi

Top Urdushayar.com