Riyaz Khairabadi

hina ye kahti hai lo be-zaban pa ke mujhe

Riyaz Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

1853-1934
hinā ye kahtī hai lo be-zabān pā ke mujhe
jab aa.e aap ga.e choriyāñ lagā ke mujhe
na dekhte the kabhī jo nazar uThā ke mujhe
vo dekhte haiñ dam-e-hashr muskurā ke mujhe
hinā ye kahtī hai un se sunā sunā ke mujhe
nahīñ shahīdoñ meñ milnā lahū lagā ke mujhe
nigah se baḌh ke haiñ gustāḳh dast-e-shauq mire
na kosiyegā zarā haath uThā uThā ke mujhe
mirā raqīb mujhī sā rakhā diyā mujh ko
nikālī chheḌ kī shakl aa.ina dikhā ke mujhe
duhā.iyāñ haiñ shab-e-vasl apnī shoḳhī se
ki luuTe lete haiñ joban hasīn pā ke mujhe
zarā se dard ne Dhaa.ī haiñ āfateñ kyā kyā
paTak diyā hai zamīñ par uThā uThā ke mujhe
kahā jo un se charāġh-e-lahad jalāte jaao
havā se tez ga.e vo havā batā ke mujhe
kanār-e-ġhair meñ rāteñ taḌap taḌap ke kaTīñ
rahe na chain se vo qabr meñ sulā ke mujhe
sabā na daaġh lagā tū ye apne dāman ko
kahegī sham-e-lahad kyā milā bujhā ke mujhe
maiñ apne ḳhuun kā beḌā uThā.ūñ ḳhud kyūñkar
vo paan dete haiñ shoḳhī se muskurā ke mujhe
urūs-e-gor ke pahlū meñ chain pā.ūñgā
vahī sulā.egī āġhosh meñ dabā ke mujhe
kahā thā kis ne ki lākhoñ ke dil karo pāmāl
jo kah rahe ho ki laale paḌe hinā ke mujhe
nikāl dūñgā shab-e-vasl bal nazākat ke
Darā liyā hai bahut tevriyāñ chaḌhā ke mujhe
manā liyā tire rūThe hue ko zālim ne
hañsā diyā tire nāvak ne gudgudā ke mujhe
ye haath bāñdh ke kahtā hai dil ke zaḳhm kā chor
huzūr yaad haiñ sab hathkañDe hinā ke mujhe
vo aa ke sharm se kahte haiñ merī turbat par
na dekhe sabza-e-ḳhvābīda sar uThā ke mujhe
ye kyā mazāq farishtoñ ko aaj sūjhā hai
hujūm-e-hashr meñ le aa.e haiñ bulā ke mujhe
miTe huoñ ke miTāne ko ye bhī āñdhī haiñ
raheñge naqsh-e-qadam ḳhaak meñ milā ke mujhe
kahūñgā hashr ke chhoTe se din meñ kyā kyā baat
bahut hī hausle haiñ arz-e-mudda.ā ke mujhe
qayāmat aur qayāmat meñ aa.ī qahr huā
butoñ ne chheḌ diyā sāmne ḳhudā ke mujhe
adā-shanāsoñ ko marte bhī ban nahīñ paḌtī
payām aate haiñ kab se mirī qazā ke mujhe
satāne vaalo qayāmat bhī aa.ī jaatī hai
jafā ke lutf tumhīñ ā.eñge vafā ke mujhe
tamām umr ke shikve miTā.e jaate haiñ
vo dekhte haiñ dam-e-naz.a muskurā ke mujhe
kahāñ vo nuur kī sūrat vo nuur kī āvāz
'riyāz' kaun sunā.e ġhazal ye gā ke mujhe
Top Urdushayar.com