Tags-Self-praise

mastān-e-ishq aa.e ta.allī par ai falak
ab ḳhair maañg tū qadah-e-āftāb kī
Ghazal
qazi ke munh pe mari hai botal sharab ki
gar ta.allī par hai vahm-e-imtihān-e-mai-farosh
be-nishāñ ho kar nikāleñge nishān-e-mai-farosh
Ghazal
gar talli par hai wahm-e-imtihan-e-mai-farosh
maiñ havāla tirī tahrīr kā kis naam se duuñ
mujh se tū maañg chukā harf-e-ta.allī ruḳhsat
Ghazal
dil ne chaha tha ki ho aabla-pai ruKHsat
ta.allī zamīñ se jo nāloñ ne kī
falak par ayaañ zalzala ho gayā
Ghazal
asar zulf ka barmala ho gaya
nashshe meñ bhī tire 'beḳhud' kī ta.allī na ga.ī
bāda-e-hosh-rubā ko mai-e-kausar jaanā
Ghazal
sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana
ruuh detī rahī tarġhīb-e-ta.allī barsoñ
ham magar terī galī chhoḌ ke uupar na ga.e
Sher
ruh deti rahi targhib-e-talli barson
un ke qabze meñ hai jannat un ke qabze meñ hai naar
is ta.allī ko hadīs-e-dīgarāñ samjhā thā maiñ
Ghazal
apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main
ta.allī se ye nafrat hai ki ba.ad-e-marg ḳhaak apnī
agar uThtī bhī hai jā baiThtī hai ḳhāksāroñ meñ
Ghazal
na Theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaron mein
mere ġhubār kī ye ta.allī to dekhiye
itnā baḌhā ki arsh-e-muallā se mil gayā
Sher
mere ghubar ki ye talli to dekhiye

Top Urdushayar.com