Kishwar Naheed

dil ne chaha tha ki ho aabla-pai ruKHsat

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
dil ne chāhā thā ki ho ābla-pā.ī ruḳhsat
zindagī de ke huī sho.ala-fishānī ruḳhsat
tum ne jab sham.a bujhā.ī to samajh meñ aayā
ek mauhūm sā rishta thā so vo bhī ruḳhsat
maiñ udāsī sar-e-bāzār bhī lā.ūñ aise
jaise paanī kī tamannā meñ ho kashtī ruḳhsat
mere isrār pe maujūd thā ghar pe lekin
us ne ḳhāmosh libāsī meñ likhī thī ruḳhsat
terī tā.īd kī tasvīr se jī uTThe the
nahīñ ma.alūm thā ye ret hai paanī ruḳhsat
maiñ havāla tirī tahrīr kā kis naam se duuñ
mujh se tū maañg chukā harf-e-ta.allī ruḳhsat
Top Urdushayar.com