Tags-Hawa

qaid-ḳhāne kī havā meñ shor hai ālām kā
bhed khultā kyuuñ nahīñ ai dil tire ārām kā
Ghazal
qaid-KHane ki hawa mein shor hai aalam ka
pā-basta-e-zanjīr-e-havā chhūT ga.e haiñ
mauqūf huā silsila-e-qatl-e-navā bhī
Ghazal
main dhund-fazaon mein uDa bhi hun gira bhi
bande kā parda shān-e-ilāhī chhupī huī
ḳhud ko to chhoḌ ḳhaak uḌāyā to kyā huā
Sher
bande ka parda shan-e-ilahi chhupi hui
bachchoñ ke saath aaj use dekhā to dukh huā
un meñ se koī ek bhī maañ par nahīñ gayā
Sher
bachchon ke sath aaj use dekha to dukh hua
taqdīr meñ izāfa-e-soz-e-vafā huā
dil meñ jo tum ne aag lagā dī to kyā huā
Ghazal
taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
kahte haiñ jis ko maut hai ik be-ḳhudī kī niiñd
us ko fanā kahāñ hai jo tujh par fanā huā
Ghazal
taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
ai ḳhādimān-e-husn ye kyā intizām hai
ab tak charāġh-e-tūr paḌā hai bujhā huā
Ghazal
taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
hastī o nīstī kī hadeñ duur rah ga.iiñ
ye aa gayā kahāñ maiñ tujhe DhūñDhtā huā
Ghazal
taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
muñh se duā nikal hī ga.ī vaqt-e-qatl bhī
kahnā ye thā ki haqq-e-mohabbat adā huā
Ghazal
taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
bahs-e-niyāz-o-nāz thī kal bazm-e-husn meñ
'sīmāb' kuchh ḳhabar nahīñ kyā faisla huā
Ghazal
taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
sar-e-sharh-o-iz.hār jaane kaisī havā chalī hai
ki bikhar gayā hai suḳhan suḳhan intiḳhāb sā kuchh
Ghazal
ye zara sa kuchh aur ek-dam be-hisab sa kuchh
jab un kī koī bhī ta.abīr pā nahīñ sakte
havā meñ ḳhvāboñ ko tahlīl karnā chāhte haiñ
Ghazal
nae mizaj ki tashkil karna chahte hain
ġham se nāzuk zabt-e-ġham kī baat hai
ye bhī dariyā hai magar Thahrā huā
Sher
gham se nazuk zabt-e-gham ki baat hai
sharāb pī to gunahgār maiñ huā vaa.iz
burā.ī kī jo mirī tujh ko kyā savāb milā
Ghazal
KHarab-o-KHasta hue KHak mein shabab mila
zarā sā dard huā thā ki dil chamak uTThā
zarā sī sub.h huī thī ki din nikal aayā
Ghazal
tamam raat paDi thi ki din nikal aaya
uThte dekhā jo tum ko pahlū se
dard bhī uTh khaḌā huā dil kā
Sher
uThte dekha jo tumko pahlu se
thī yahī āb-o-havā nashv-o-numā kī zāmin
isī miTTī se mire fan kā ḳhamīr uTThā thā
Ghazal
han yahi shahr mere KHwabon ka gahwara tha
ik ḳhvāb meñ rakheñ koī guzrā huā lamha
ik ḳhvāb se ā.inda kī ta.abīr banā.eñ
Ghazal
hairat hai ki jo zulm se taqdir banaen
havā dukhoñ kī jab aa.ī kabhī ḳhizāñ kī tarah
mujhe chhupā liyā miTTī ne merī maañ kī tarah
Sher
hawa dukhon ki jab aai kabhi KHizan ki tarah

Top Urdushayar.com