Tags-Dil

ham se to dil meñ aap ke ab tak na ghar huā
kar lete haiñ diloñ meñ ye kis tarah raah aap
Ghazal
wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
dil de ke bahr-e-fikr meñ ho ġhota-zan abas
dariyā-e-ishq kī nahīñ pā.eñge thaah aap
Ghazal
wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap
dil ajab mushkil meñ hai ab asl raste kī taraf
yaad pīchhe khīñchtī hai aas aage kī taraf
Ghazal
dil ajab mushkil mein hai ab asl raste ki taraf
haajī tū to raah ko bhūlā manzil ko koī pahuñche hai
dil sā qibla chhoḌ ke tū ne ka.abe kā ehrām kiyā
Sher
haji tu to rah ko bhula manzil ko koi pahunche hai
yuuñ ḳhāna-e-dil meñ ik ḳhushbū ābād hai aur lau detī hai
jo bād-e-shimāl ke pahre meñ koī tanhā raat kī raanī ho
Ghazal
koi yaad hi raKHt-e-safar Thahre koi rahguzar anjaani ho
husn kī pahlī nazar hī dil kī duniyā kho ga.ī
luT ga.e āġhāz meñ dekhā nahīñ anjām tak
Ghazal
husn-o-ulfat sath hain aaghaz se anjam tak
is dil se mire ishq ke armāñ ko nikālo
tahrīr se aurāq-e-pareshāñ ko nikālo
Ghazal
is dil se mere ishq ke arman ko nikalo
mumkin hai tahī kar do mujhe har kisī shai se
mumkin ho agar dil se is īmāñ ko nikālo
Ghazal
is dil se mere ishq ke arman ko nikalo
jis ko hai bharam aaj bhī paimān-e-vafā kā
siine se mire us dil-e-nādāñ ko nikālo
Ghazal
is dil se mere ishq ke arman ko nikalo
tab jā ke lagā pāoge dil apnā ḳhizāñ se
pahle to is ummīd-e-bahārāñ ko nikālo
Ghazal
is dil se mere ishq ke arman ko nikalo
jo sunñā chāho to bol uTTheñge añdhere bhī
na sunñā chāho to dil kī sadā sunā.ī na de
Sher
jo sunna chaho to bol uTThenge andhere bhi
jis tarah chāhā likhīñ dil ne kahā yuuñ mat likh
saikḌoñ baar dharā aur uThāyā kāġhaz
Sher
jis tarah chaha likhin dil ne kaha yun mat likh
vahī to umr mere dard-e-dil kī bhī hogī
tire shabāb kā ye kaun saal hai pyāre
Sher
wahi to umr mere dard-e-dil ki bhi hogi
phirte hī us kī aañkh ke vābasta-tar havā
maiñ dil ke saath dil nigah-e-fitna-zā ke saath
Ghazal
aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath
tujh se mil kar bhī na tanhā.ī miTegī merī
dil meñ rah rah ke yahī baat khaTaktī kyuuñ hai
Ghazal
jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai
dil meñ ubal rahe haiñ vo tūfāñ ki al-amāñ
chehre pe vo sukūn hai maano ḳhabar nahīñ
Ghazal
sayyad tumhaare gham ki kisi ko KHabar nahin
baa.eñ meñ sūraj rahe aur chāñd dahne haath meñ
dil agar raushan nahīñ to shobada-gar kuchh nahīñ
Ghazal
ham-nashino kuchh nahin rakkha yahan par kuchh nahin

Top Urdushayar.com