phir  aaj  yaas  kī  tārīkiyoñ  meñ  Duub  ga.ii!
vo  ik  navā  jo  sitāroñ  ko  chuum  saktī  thī
sukūt-e-shab  ke  tasalsul  meñ  kho  ga.ī  chup-chāp
jo  yaad  vaqt  ke  mehvar  pe  ghuum  saktī  thī
abhī  abhī  mirī  tanhā.iyoñ  ne  mujh  se  kahā
koī  sambhāl  le  mujh  ko,  koī  kahe  mujh  se
abhī  abhī  ki  maiñ  yuuñ  DhūñDhtā  thā  rāh-e-farār
pata  chalā  ki  mire  ashk  chhin  ga.e  mujh  se