chāñdnī  raat  ke  hañste  hue  ḳhvāboñ  kī  tarah
nuqra.ī  jism  kā  shādāb  gulistāñ  le  kar
unhīñ  sho.aloñ  kī  tab-o-tāb  hai  jis  ne  ab  tak
mere  idrāk  ko  be-soz  nahīñ  rakkhā  hai
unhīñ  sho.aloñ  kī  tamāzat  kā  sahārā  le  kar
barbariyyat  ke  har  aivān  se  Takrāyā  huuñ
ab  yahī  sho.ale  mirī  fikr-o-nazar  meñ  Dhal  kar
husn-e-ehsās  kā  shahkār  nazar  aate  haiñ
jab  bhaḌak  uTTheñge  har  sard-o-siyah  siine  meñ
yahī  sho.ale  dil-e-āfāq  ko  lau  baḳhsheñge
mere  ālām  kā  darmāñ  tirī  āñkhoñ  meñ  nahīñ
apne  ehsās  ko  siine  meñ  tapāñ  rakkhūñgā