vo  laḌkī  vo  ma.asūm  alhaḌ  sī  laḌkī
kisī  aarzū  kī  tarah  dil-nashīñ  thī
bahāroñ  sitāroñ  kā  vo  ḳhvāb  lekin
nirālī  hī  ta.abīr  meñ  Dhal  rahā  hai
vo  jalte  hue  kuchh  pashemān  bhī  hai
nikhar  bhī  rahī  hai  magar  is  jalan  se
nadāmat  ke  TuuTe  hue  āñsuoñ  ne
tabassum  ko  ārāsta  kar  diyā  hai
vo  āzād  panchhī  jo  Duubā  huā  thā
nashīle  sajīle  ḳhayāloñ  ke  ras  meñ
jo  doshīzgī  nik.hat-e-rā.egāñ  thī
baḌā  kār-āmad  dhuāñ  ban  rahī  hai
kuñvārī  umañgoñ  kī  muñh-band  kaliyāñ
zar-o-sīm  ke  Dher  meñ  tul  rahī  haiñ
ḳhizāñ  ke  sunahrī  fareboñ  meñ  aa  kar
hayā  kā  muqaddas  chaman  luT  rahā  hai
vo  alhaḌ  sī  laḌkī  jo  kuchh  saal  pahle
kisī  aarzū  kī  tarah  dil-nashīñ  thī