jism  hai  terā  rañg  kī  duniyā
ruup  hai  terā  nuur  kī  vaadī
terī  āñkheñ  surūr  kā  mandir
terī  zulfeñ  bahār  kā  maskan
tere  un  ārizoñ  ke  phūloñ  par
gulistāñ  kā  gumān  hotā  hai
apnī  zau  se  jhijak  rahā  hai  charāġh
tujh  se  Dartī  hai  terī  parchhā.īñ
tū  bhī  vo  she.r-e-dil-nashīñ  hai  jise
aaj  tak  koī  qadr-dāñ  na  milā
aaj  tak  tū  ne  zaḳhm  khaa.e  haiñ
rañg-afshāñ  guloñ  ke  dhoke  meñ
aa.ina  kis  liye  hai  zañg-ālūd
phuul  kī  pañkhuḌī  pe  sil  kyuuñ  hai