falak  kā  ek  taqāzā  thā  ibn-e-ādam  se
sulag  sulag  ke  rahe  aur  palak  jhapak  na  sake
maiñ  sochtā  huuñ  ki  ye  terī  be-hijāb  hañsī!
mizāj-e-zīst  se  is  darja  muḳhtalif  kyuuñ  hai
bharā  huā  hai  nigāhoñ  meñ  zindagī  ke  dhuāñ
bas  ek  sho.ala-e-shab-tāb  meñ  sharar  kyuuñ  hai
na.e  shivāle  meñ  jā  kar  kisī  ke  teshe  ne
bahut  se  but  to  girā.e  bahut  se  but  na  gire
bas  ek  ḳhanda-e-be-bāk  hī  se  kyā  hogā
lahū  kī  zahmat-e-iqdām  bhī  zarūrī  hai
gurez  o  raj.at  o  taḳhrīb  hī  sahī  lekin
koī  taḌap,  koī  hasrat,  koī  murād  to  hai