mire  vatan  tirī  ḳhidmat  meñ  le  kar  aayā  huuñ
jagah  jagah  ke  tilismāt  des  des  ke  rañg
bichhaḌ  ke  tujh  se  ka.ī  ajnabī  dayāroñ  ne
mujhe  gale  se  lagāyā  mujhe  tasallī  dī
mire  dayār  kahāñ  the  tire  tamāshā.ī
ki  dīdanī  thā  mirā  jashn-e-ābla-pā.ī
talāsh  karte  hue  gum-shuda  ḳhazānoñ  ko
bahut  se  misr  ke  fir.aun  maqbaroñ  meñ  mile
sunā  ke  apne  urūj-o-zavāl  ke  qisse
sabhī  ne  mujh  se  mirā  rañg-e-dāstāñ  pūchhā
mirī  jhukī  huī  āñkheñ  talāsh  kartī  raheñ
koī  zamīr  kā  lahja  koī  usuul  kī  baat
mire  vatan  mire  sāmān  meñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
bas  ek  ḳhvāb  hai  aur  ḳhvāb  kī  fasīleñ  haiñ