yuuñ  to  lamhoñ  ke  is  tasalsul  meñ
ab  se  pahle  bhī  umr  kaTtī  thī
aaj  lekin  thake  hue  dil  par
jism  kā  taar  taar  bhārī  hai
maqbaroñ  se  uThī  huī  āñdhī
Tahniyoñ  se  ulajh  ke  chaltī  hai
zard  chiñgāriyoñ  ke  dāman  meñ
yuuñ  sulagtā  hai  sard  ātish-dān
dam-ba-ḳhud  ḳhāmushī  meñ  dhīre  se
zard  patte  qadam  uThāte  haiñ
dil  kī  qurbān  gaah  ke  aage
ek  TuuTā  huā  diyā  bhī  nahīñ
lambī  chauḌī  saḌak  ke  dāman  par
qumqume  sahme  sahme  jalte  haiñ
sochtā  huuñ  ki  is  dayār  se  duur
ek  aisā  bhī  des  hai  jis  kī