merī  hamdam,  mire  ḳhvāboñ  kī  sunahrī  ta.abīr
muskurā  de  ki  mire  ghar  meñ  ujālā  ho  jaa.e
mere  nikhre  hue  gītoñ  meñ  tirā  jaadū  hai
maiñ  ne  meyār-e-tasavvur  se  banāyā  hai  tujhe
duudh  kī  tarah  kuñvārī  thī  zamistāñ  kī  vo  raat
jab  tire  shabnamī  aariz  ne  dahaknā  sīkhā
merī  taḳh.īl  kī  jhankār  ko  sākit  pā  kar!
chūḌiyāñ  terī  kalā.ī  meñ  khanak  uThtī  thiiñ
vaqt  ke  dast-e-girāñ-bār  se  māyūs  na  ho
kis  ko  ma.alūm  hai  kyā  honā  hai  aur  kyā  ho  jaa.e