zindagī  maiñ  tire  darvāze  par
ik  bhikārī  kī  tarah  aayā  thā
ek  marhūm  kiran  kī  ḳhātir
mujh  ko  thoḌī  sī  ziyā  bhī  na  milī
daf.atan  ek  dhamāke  ke  saath
kachche  dhāgoñ  ke  sire  chhūT  ga.e
aur  phir  ek  ghanā  sannāTā
aur  phir  rasm-e-kohan  ke  gesū
2
kohr  meñ  Duub  ga.ī  thiiñ  sham.eñ
ik  ḳhatarnāk  kagāre  ke  qarīb
tujh  se  laḌne  kā  irāda  le  kar
tū  magar  aa.ī  to  ik  lamhe  meñ
na  vo  tevar  the  na  vo  aaheñ  thiiñ