bahut  qarīb  se  aa.ī  havā-e-dāman-e-gul
kisī  ke  rū-e-bahārīñ  ne  hāl-e-dil  pūchhā
ki  ai  firāq  kī  rāteñ  guzārne  vaalo
ḳhumār-e-āḳhir-e-shab  kā  mizāj  kaisā  thā
tumhāre  saath  rahe  kaun  kaun  se  taare
siyāh  raat  meñ  kis  kis  ne  tum  ko  chhoḌ  diyā
bichhaḌ  ga.e  ki  daġhā  de  ga.e  sharīk-e-safar
ulajh  gayā  ki  vafā  kā  tilism  TuuT  gayā
nasīb  ho  gayā  kis  kis  ko  qurb-e-sultānī
mizāj  kis  kā  yahāñ  tak  qalandarāna  rahā
figār  ho  ga.e  kāñToñ  se  pairahan  kitne
zamīñ  ko  rashk-e-chaman  kar  gayā  lahū  kis  kā
sunā.eñ  yā  na  sunā.eñ  hikāyat-e-shab-e-ġham
ki  harf  harf  sahīfa  hai,  ashk  ashk  qalam
hazār  dasht  paḌe,  laakh  āftāb  ubhre
jabīñ  pe  gard,  palak  par  namī  nahīñ  aa.ī