Tilok Chand Mahroom

chhabbis january

Tilok Chand Mahroom

Mianwali, Punjab, Pakistan

1887-1966
ye daur-e-nau-mubārak farḳhanda-aḳhtarī kā
jamhūriyat kā āġhāz anjām qaisarī kā
bhārat kī bartarī meñ kis ko kalām hai ab
thā jo rahīn-e-pastī gardūñ-maqām hai ab
sadiyoñ ke band TuuTe āzād hoga.e ham
qaid-e-girāñ se chhūTe dil-e-shād ho ga.e ham
jo muztarib thī dil meñ vo aarzū bar aa.ī
takmīl-e-ārzū ne dil kī ḳhalish miTā.ī
ta.abīr-e-ḳhvāb-e-'gāñdhī' tafsīr-e-hāl-e-'nehrū'
'āzād' kī riyāzat 'sardār' kī tagāpū
qurbāñ hue jo is par rūheñ haiñ shaad un kī
ham jis se bahra-var haiñ vo hai murād un kī
āzād ho gayā jab hindostāñ hamārā
hai suud ke barābar har ik ziyāñ hamārā
aivān-e-farruḳhī kī tāmīr-e-nau mubārak
ā.īn-e-zindagī kī tadbīr-e-nau mubārak
bhārat kā azm hai ye taufīq ai ḳhudā de
duniyā se īn-o-āñ kī tafrīq ko miTā de
Top Urdushayar.com