Faiz Ahmad Faiz

tauq-o-dar ka mausam

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984

ravish-ravish hai vahī intizār mausam

nahīñ hai koī bhī mausam bahār mausam

girāñ hai dil pe ġham-e-rozgār mausam

hai āzmā.ish-e-husn-e-nigār mausam

ḳhushā nazāra-e-ruḳhsār-e-yār saa.at

ḳhushā qarār-e-dil-e-be-qarār mausam

hadīs-e-bāda-o-sāqī nahīñ to kis masraf

ḳhirām-e-abr-e-sar-e-kohsār mausam

nasīb-e-sohbat-e-yārāñ nahīñ to kyā kiije

ye raqs-e-sāya-e-sarv-o-chinār mausam

ye dil ke daaġh to dukhte the yuuñ bhī par kam kam

kuchh ab ke aur hai hijrān-e-yār mausam

yahī junūñ yahī tauq-o-dār mausam

yahī hai jabr yahī iḳhtiyār mausam

qafas hai bas meñ tumhāre tumhāre bas meñ nahīñ

chaman meñ ātish-e-gul ke nikhār mausam

sabā mast-ḳhirāmī tah-e-kamand nahīñ

asīr-e-dām nahīñ hai bahār mausam

balā se ham ne na dekhā to aur dekheñge

faroġh-e-gulshan o saut-e-hazār mausam

Top Urdushayar.com