Faiz Ahmad Faiz

dard aaega dabe panw

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984

aur kuchh der meñ jab phir mire tanhā dil ko

fikr aa legī ki tanhā.ī kyā chāra kare

shola-e-dard jo pahlū meñ lapak uTThegā

dil dīvār pe har naqsh damak uTThegā

dil se phir hogī mirī baat ki ai dil ai dil

ye jo mahbūb banā hai tirī tanhā.ī

mushta.il ho ke abhī uTTheñge vahshī saa.e

ye chalā jā.egā rah jā.eñge baaqī saa.e

ho na ho apne qabīle bhī koī lashkar

muntazir hogā añdhere fasīloñ ke udhar

Top Urdushayar.com