Daud Ghazi

ilm

Daud Ghazi

Dar es Salaam, Tanzania

1932-1936
kaun jaane ki ye ḳhurshīd hai nā-ḳhūb ki ḳhuub
chāñd achchhā ki burā kaun batā saktā hai
haañ ye mumkin hai shuā.eñ hoñ zarar kā baa.is
kaun kahtā hai ujāloñ se karo kasb-e-ziyāñ
ilm mazdūr ko fankār banā detā hai
ilm mansūr ko hoshiyār banā detā hai
raushnī gul na karo raat abhī baaqī hai
ziist samjhī nahīñ jo baat abhī baaqī hai
ilm ek nuur hai ye nuur bikhar jaane do
sub.h-e-irfāñ ko zarā aur nikhar jaane do
Top Urdushayar.com