Shatir Hakeemi

mirza-ghaalib

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988

añdherī raat meñ jab muskurā uThte haiñ sayyāre

tarannum phuuT paḌtā hai mire sāz-e-rag-e-jāñ se

koī añgḌā.iyāñ letā jab aa jaatā hai mahfil meñ

tamannā karvaTeñ letī hai paiham dukh-bhare dil meñ

nigāheñ bāda-e-ruḳh se ḳhumār-āmez hotī haiñ

sharābī tarah jab jhūmtī haiñ ishq nabzeñ

koī 'tagore' ke jab mīThe mīThe giit gaatā hai

moallim go.eTe falsafa jis dam sunātā hai

tire ash.ār paḌhtā huuñ tire naġhmāt gaatā huuñ

kamāl-e-kaif-o-fart-e-be-ḳhudī meñ jhuum jaatā huuñ

Top Urdushayar.com