Shatir Hakeemi

diwali

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988

raat kuchh tārīk bhī hai aur kuchh raushan bhī hai

vaqt ke māthe pe shoḳhī bhī hai bholā-pan bhī hai

bām-o-dar par aaj miTTī ke diye haiñ is tarah

āsmānoñ par sitāre jagmagā.eñ jis tarah

rāstoñ par haiñ danā-dan sadā.eñ ḳhaufnāk

zindagī se maut goyā kar rahī hai tāk-jhāñk

ho rahī haiñ har galī-kūche meñ ātish-bāziyāñ

aar rahā hai abr sūrat tamavvul dhuāñ

kar rahe haiñ laxmī-pūjan bhī gharoñ meñ sāhūkār

dev daulat ko samajh baiThe haiñ rabb-e-iqtidār

hind vāloñ ko maraz hai nāravā taqlīd

aaj ghar meñ seTh-jī bhī khel lete haiñ juā

ho sake to chhoḌ de rasm-e-kohan mard-e-javāñ

tā-ba-kai dohrā.e jā.egā fasurda dāstāñ

aql se kuchh kaam le hindostāñ par rahm kar

aaj bhī lākhoñ gharoñ meñ hai añdhere guzar

hosh meñ aa ḳhvāb se bedār ho ai vaqf-e-naum

mulk par tere hukūmat kar rahī hai ġhair qaum

mard hai kaam le himmat se ronā chhoḌ de

naam le arjun zanjīr-e-ġhulāmī toḌ de

hind ḳhvābīda qismat ko jagānā chāhiye

shauq se phir tujh ko dīvālī manānā chāhiye

Top Urdushayar.com