Waheed Akhtar

dimak

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
karam-ḳhurda kāġhazoñ ke Dher meñ madfūn hai
chāTtā hai harf harf
dā.ere qausain san tārīḳh ādād o shumār
nuqta o zer-o-zabar tashdīd o mad
hāsil-e-bīnā.ī o zauq-e-nazar
bāñdhtā hai vahm o taḳhmīn o gumāñ ke kuchh hisār
chūmtā hai katba-e-lauh-e-mazār
chand nuqte uḌ ga.e haiñ lafz kuchh kāvāk haiñ
us kī nazroñ meñ ḳhazīna ilm kā ḳhaar o ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ
kyā alā.em kyā rumūz ishkāl alfāz o hurūf
ātish-e-taġha.īr ke hāthoñ pighal jaate haiñ sab
vaqt kī bhaTTī meñ tap kar ik na.e sāñche meñ Dhal jaate haiñ sab
lamha lamha munkashif hotā huā sar-e-hayāt
munjamid alfāz ke siine meñ apnā nuur phailātā nahīñ
karam-ḳhurda kāġhazoñ kī laash meñ
ḳhuuñ apnā dauḌātā nahīñ
karam-kāġhaz hai harīf-e-roz-o-shab
chāTtā hai fuzla-e-ilm-o-adab
aur sar akḌā.e ḳhallāqān-e-ma.anī kī taraf ḳhanda-ba-lab
Top Urdushayar.com