Zehra Alvi

KHud-kalami KHatun-e-KHana ki

Zehra Alvi

Chakwal, Punjab, Pakistan

1990

kuchh ḳhaas nahīñ hai

vahī roz-o-shab haiñ

oh bachche schōl se aane vaale haiñ

aur bachchoñ ke liye lunch bhī banānā hai

are yaad na rahā saas davā ḳhatm hone vaalī hai

aur kitchen kuchh sāmān bhī laanā hai

kitnā achchhā mausam hai bādaloñ ke sañg gungunāne

magar dāvat hai kal aur raat khānā banānā hai

kabāb banā kar rakhe haiñ abhī frēze meñ

ab bachchoñ ko paḌhānā hai

thak kar chuur ho ga.ī huuñ magar un ke liye

achchhe se tayyār honā hai

adhūrī jins

ka.ī sadiyoñ se ġhurūr ādamiyat aur hayā nisvāniyat ke darmiyān

Top Urdushayar.com