qadam  qadam  pe  aqīdat  se  sar  hai  ḳham  merā
chalā  hai  sū-e-rah-e-mo'atabar  qalam  merā
baḌe  ḳhulūs  se  detā  thā  dars-e-insānī
hue  haiñ  jis  kī  badaulat  zamīr  nūrānī
vo  jis  ne  rāh-e-mohabbat  dikhā.ī  thī  ham  ko
vo  jis  ne  rasm-e-uḳhuvvat  sikhā.ī  thī  ham  ko
vo  jis  ne  bartar-o-bālā  ḳhayāl  baḳhshā  thā
jo  lā-zavāl  hai  aisā  kamāl  baḳhshā  thā
vo  ek  fikr  jo  bā-e'tibār  kartī  hai
nazar  meñ  kābil-sad-iftiḳhār  kartī  hai
vo  jis  ne  ziist  sajā.ī  jalā.e  dil  ke  charāġh
usī  ke  soz  ne  baḳhshī  hameñ  matā-e-dimāġh
usī  ne  tarz-e-takallum  kī  chāshnī  dī  hai
usī  ne  ilm  kī  ḳhush-rañg  zindagī  dī  hai
usī  ne  harf-e-hidāyat  se  sarfarāz  kiyā
ḳhudā  kā  shukr  hameñ  āshnā-e-rāz  kiyā
guloñ  se  pyaar  anādil  se  us  kā  yārāna
sukūn-o-amn  kā  markaz  thā  us  kā  kāshāna
matā-e-ilm  luTātī  rahī  hai  zaat  us  kī
bahut  darāz  thī  zulf-e-navāzishāt  us  kī
ruḳh-e-hayāt  ko  baḳhshī  hai  ik  jilā  us  ne
shu.ūr  zauq-e-nazar  kā  atā  kiyā  us  ne
sukūn  dil  ko  mayassar  thā  us  kī  qurbat  se
ham  ahl-e-hind  kī  azmat  hai  us  kī  nisbat  se
ufuq  pe  ubhrā  jo  vo  al-hilāl  kī  sūrat
javān  ho  ke  rahī  al-balāġh  kī  fitrat
haiñ  tazkire  meñ  kuchh  aise  nuqūsh-e-fikr-e-jamīl
ġhubar-e-ḳhātir-o-ḳhutabāt  kī  sajeñ  qindīl
jo  tarjumān  se  phailī  kalām  kī  ḳhushbū
sañvāre  us  ne  hī  pechīda  aql  ke  gesū
usī  ne  sāz-e-adab  ko  sadā-e-nau  baḳhshī
shikasta-dil  ko  anokhī  adā-e-nau  baḳhshī
dayār-e-gul  meñ  vo  aayā  thā  muskurātā  huā
har  ek  ḳhār-e-chaman  ko  gale  lagātā  huā
guloñ  kā  rañg  sabā  kā  shi.ār  laayā  thā
vo  ik  bahār  thā  husn-e-bahār  laayā  thā
na  us  bahār  se  ab  tak  bharā  thā  dil  apnā
ki  chand  lamhoñ  ko  us  se  lagā  thā  dil  apnā
qazā-e-husn  chaman  ko  chaman  se  chhīn  liyā
shabāb  jaise  navelī  dulhan  se  chhīn  liyā
bahār  hai  na  vajūd-e-bahār  baaqī  hai
diloñ  meñ  yād-e-numūd-e-bahār  baaqī  hai
buzurg-o-muḳhlish-o-ālī-vaqār  thā  vo  shaḳhs
ki  ek  muntaḳhab-e-rozgār  thā  vo  shaḳhs