ajiib  kūcha-e-rashk-e-jināñ  thā  dehlī  kā
bahisht  kahte  haiñ  jis  ko  makāñ  thā  dehlī  kā
dimāġh  bar-sar-e-haft-āsmāñ  thā  dehlī  kā
ḳhitāb-e-ḳhitta-e-hindostāñ  thā  dehlī  kā
ġhazab  hai  us  ko  koī  shādmāñ  na  dekh  sakā
zamīñ  na  dekh  sakī  āsmāñ  na  dekh  sakā
hazāroñ  zulf-e-parī-vash  ke  yaañ  the  saudā.ī
hazāroñ  mai-kash-o-mai-ḳhvār-o-mast-o-sahbā.ī
sharāb-e-aish  pilātā  thā  charḳh-e-mīnā.ī
qubūl  karte  the  is  dar  pe  sab  jabīñ-sā.ī
jo  aatā  thā  so  vo  ho  rahtā  thā  usī  ghar  kā
zamīñ  kī  naaf  hai  ka.aba  hai  batn-e-mādar  kā
vo  taḳht-e-saltanat-o-bārgāh-e-sultānī
ki  jis  meñ  baiThte  the  aa  ke  zill-e-sub.hānī
paroñ  se  sar  pe  humā  kartā  thā  magas-rānī
bajā  us  auj  pe  thā  da.avā-e-sulaimānī
har  ek  qasr  ko  da.avā  thā  tāq-e-kisrā  kā
dimāġh  arsh  pe  thā  qila-e-muallā  kā
zuhal  kī  aañkh  paḌī  ittifāq  se  nāgāh
tamām  ho  gayā  tārāj  mulk-o-māl  aur  jaah
ki  us  se  ho  ga.e  bad-tar  ġharīb  shāhanshāh
ra.ī.yat  us  kī  huī  us  se  bhī  ziyāda  tabāh
vo  sāhūkār  na  thā  jis  kī  saakh  meñ  baTTā
ab  us  ke  naam  pe  lagtā  hai  laakh  meñ  baTTā
milā  ye  hukm  ki  sab  log  yaañ  se  Tal  jaa.eñ
isī  meñ  ḳhair  hai  jo  shahr  se  nikal  jaa.eñ
dabī  hai  buqchī  to  dikhlā  ke  yaañ  baġhal  jaa.eñ
jo  kuchh  hai  chhoḌ  yahāñ  sāhab-e-daval  jaa.eñ
na  sar  pe  Topī  hai  un  ke  na  paañv  meñ  juutī
baġhal  meñ  tote  kā  piñjḌā  nabī-jī  bhejo  jī
yahāñ  jo  aan  kī  dekhī  to  daar  kī  sūrat
vo  daar  kahiye  jise  zulfiqār  kī  sūrat
miTā  dī  chashm-e-zadan  meñ  hazār  kī  sūrat
nazar  paḌī  na  kisī  be-qarār  kī  sūrat
ba-rañg-e-tīr-e-shahāb  aag  meñ  jale  lākhoñ
sipurd  dār-o-rasan  ho  ga.e  gale  lākhoñ